jamhuriyat
das karoḌ insāno!
zindagī se begāno!
sirf chand logoñ ne
haq tumhārā chhīnā hai
ḳhaak aise jiine par
ye bhī koī jiinā hai
be-shu.ūr bhī tum ko
be-shu.ūr kahte haiñ
sochtā huuñ ye nādāñ
kis havā meñ rahte haiñ
aur ye qasīda-go
fikr hai yahī jin ko
haath meñ alam le kar
tum na uTh sako logo
kab talak ye ḳhāmoshī
chalte-phirte zindano
das karoḌ insāno!
ye mileñ ye jāgīreñ
kis kā ḳhuun piitī haiñ
barackoñ meñ ye faujeñ
kis ke bal pe jiitī haiñ
kis kī mehnatoñ kā phal
dāshtā.eñ khātī haiñ
jhoñpaḌoñ se rone kī
kyuuñ sadā.eñ aatī haiñ
jab shabāb par aa kar
khet lahlahātā hai
kis ke nain rote haiñ
kaun muskurātā hai
kaash tum kabhī samjho
kaash tum kabhī samjho
kaash tum kabhī jaano
das karoḌ insāno!
ilm-o-fan ke raste meñ
lāThiyoñ kī ye bāḌeñ
collegoñ ke laḌkoñ par
goliyoñ kī bauchhāḌeñ
ye kirā.e ke ġhunDe
yādgār-e-shab dekho
kis qadar bhayānak hai
zulm kā ye Dhab dekho
raqs-e-ātish-o-āhan
dekhte hī jāoge
dekhte hī jāoge
hosh meñ na aaoge
hosh meñ na aaoge
ai ḳhamosh tūfāno!
das karoḌ insāno!
saikḌoñ hasan nāsir
haiñ shikār nafrat ke
sub.h-o-shām luTte haiñ
qāfile mohabbat ke
jab se kaale bāġhoñ ne
aadmī ko gherā hai
mish.aleñ karo raushan
duur tak añdherā hai
mere des kī dhartī
pyaar ko tarastī hai
pattharoñ kī bārish hī
is pe kyuuñ barastī hai
mulk ko bachāo bhī
mulk ke nigahbāno
das karoḌ insāno!
bolne pe pābandī
sochne pe ta.azīreñ
paañv meñ ġhulāmī kī
aaj bhī haiñ zanjīreñ
aaj harf-e-āḳhir hai
baat chand logoñ kī
din hai chand logoñ kā
raat chand logoñ kī
uTh ke dard-mandoñ ke
sub.h-o-shām badlo bhī
jis meñ tum nahīñ shāmil
vo nizām badlo bhī
dostoñ ko pahchāno
dushmanoñ ko pahchāno
das karoḌ insāno!
das karoD insano!
zindagi se begano!
sirf chand logon ne
haq tumhaara chhina hai
KHak aise jine par
ye bhi koi jina hai
be-shuur bhi tum ko
be-shuur kahte hain
sochta hun ye nadan
kis hawa mein rahte hain
aur ye qasida-go
fikr hai yahi jin ko
hath mein alam le kar
tum na uTh sako logo
kab talak ye KHamoshi
chalte-phirte zindano
das karoD insano!
ye milen ye jagiren
kis ka KHun piti hain
barackon mein ye faujen
kis ke bal pe jiti hain
kis ki mehnaton ka phal
dashtaen khati hain
jhonpaDon se rone ki
kyun sadaen aati hain
jab shabab par aa kar
khet lahlahata hai
kis ke nain rote hain
kaun muskuraata hai
kash tum kabhi samjho
kash tum kabhi samjho
kash tum kabhi jaano
das karoD insano!
ilm-o-fan ke raste mein
laThiyon ki ye baDen
collegon ke laDkon par
goliyon ki bauchhaDen
ye kirae ke ghunDe
yaadgar-e-shab dekho
kis qadar bhayanak hai
zulm ka ye Dhab dekho
raqs-e-atish-o-ahan
dekhte hi jaoge
dekhte hi jaoge
hosh mein na aaoge
hosh mein na aaoge
ai KHamosh tufano!
das karoD insano!
saikDon hasan nasir
hain shikar nafrat ke
subh-o-sham luTte hain
qafile mohabbat ke
jab se kale baghon ne
aadmi ko ghera hai
mishalen karo raushan
dur tak andhera hai
mere des ki dharti
pyar ko tarasti hai
pattharon ki barish hi
is pe kyun barasti hai
mulk ko bachao bhi
mulk ke nigahbano
das karoD insano!
bolne pe pabandi
sochne pe taziren
panw mein ghulami ki
aaj bhi hain zanjiren
aaj harf-e-aKHir hai
baat chand logon ki
din hai chand logon ka
raat chand logon ki
uTh ke dard-mandon ke
subh-o-sham badlo bhi
jis mein tum nahin shamil
wo nizam badlo bhi
doston ko pahchano
dushmanon ko pahchano
das karoD insano!
- Book : kulliyat-e-habib jaalib (Pg. 142)
- Author : habib jaalib
- Publication : Tahir publishar,lahore (2012)
- Edition : 2012
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.