jamhuriyat
raa.e kī āzādī
merī bāñsurī kā sur hai
jise merī sāñsoñ se nikāl kar ġhubāroñ meñ bhar diyā gayā hai
mere phuul kī ḳhushbū ko
gañDeriyoñ kī reḌhī par rakh kar faroḳht kiyā jaatā hai
merī bhuuk ko merā bhaa.ī aadhī roTī ke saath churā letā hai
har saal mere charāġh kī lau income tex ke saath kaaT lī jaatī hai
aur
har iid ko
mere ḳhālī hāthoñ par advance tanḳhvāh kī zakāt rakkhī jaatī hai
vaqfe vaqfe se
merī Topī
chaupāl ke baḌe daraḳht par laTkā dī jaatī hai
rae ki aazadi
meri bansuri ka sur hai
jise meri sanson se nikal kar ghubaron mein bhar diya gaya hai
mere phul ki KHushbu ko
ganDeriyon ki reDhi par rakh kar faroKHt kiya jata hai
meri bhuk ko mera bhai aadhi roTi ke sath chura leta hai
har sal mere charagh ki lau income tex ke sath kaT li jati hai
aur
har id ko
mere KHali hathon par adwance tanKHwah ki zakat rakkhi jati hai
waqfe waqfe se
meri Topi
chaupal ke baDe daraKHt par laTka di jati hai
- Book : Duniyazad (Pg. 166)
- Author : Asif Farrakhi
- Publication : AG Printing Services Karachi ( 2005)
- Edition : 2005
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.