jamuna
dhīmī dhīmī bahne vaalī ek nahr-e-dil-nashīñ
āb-e-jū chhoTī sī ik nāzuk ḳhirām-o-nāznīñ
tishnagī-e-shauq gañgā meñ bujhāne ke liye
jā rahī hai apnī hastī ko miTāne ke liye
ye vo jamunā hai ki dilkash jis kā hai andāz-e-husn
dekhte haiñ aah āshiq jis kā ḳhvāb-e-nāz-e-husn
ye vo jamunā hai ki gaatī haiñ suḳhnavar jis ke giit
mutribān-e-ḳhush-gulū kī haiñ zabāñ par jis ke giit
ye vo jamunā hai jahāñ le le ke jalvat ke maze
luuTe haiñ ushshāq ne barsoñ mohabbat ke maze
ye vo jamunā hai ki rādhā sī hasīñ ne muddatoñ
brij kī ik pāk-dāman nāznīñ ne muddatoñ
bansī vaale kī judā.ī meñ uḌā kar sar pe ḳhaak
apne ashkoñ se kiyā hai dāman-e-sāhil ko paak
ye vo jamunā hai jahāñ ik bānū-e--parda-nashīñ
āgara meñ mahv-e-āsā.ish hai jo zer-e-zamīñ
ruḳh se āhista ulaT kar chādar-e-āb-e-ravāñ
dekhtī thī muskurā kar manzar-e-āb-e-ravāñ
aah ai nahr-e-latāfat aah ai bahr-e-jamāl
dil meñ hai pahlū-nashīñ ab tak tirā naqsh-e-ḳhayāl
garche tujh meñ ab nahīñ vo jalvā-e-shān-e-kuhan
vo hasīñ to hai ki ai sham-e-shabistān-e-kuhan
husn-e-rafta meñ hai tere ab bhī ik dilkash adā
tere kumlā.e hue phūloñ meñ hai bū-e-vafā
tū hai dariyā-e-muqaddas tū ki hai isyāñ se paak
terā dāman hai abhī ālā.ish-e-insāñ se paak
terī shaukat ke haiñ shāhid ai vafādār-e-kuhan
tere burjoñ aur tire qiloñ ke āsār-e-kuhan
tere sāhil se Tapaktī ab bhī hai shān-e-buland
āsmāñ-farsā haiñ ab bhī tere aivān-e-buland
tere farsūda nishāñ haiñ naqsh-e-nāz-e-husn-o-ishq
terī maujoñ meñ nihāñ hai āh-e-rāz-e-husn-o-ishq
aah o rañgīñ-adā o dillī vaalī nāznīñ
o do-ālam ke hasīnoñ se nirālī nāznīñ
yād-e-ayyāme ki dilkash the tire naqsh-o-nigār
din murādoñ ke the aur josh-e-javānī kā ubhār
chaḌh ke jab mīnār par ik la'bat-e-nāz-āfrīñ
dekhtī thī terī maujoñ kī adā-e-dil-nashīñ
vo kaf-e-sailāb vo shor-e-talātum haa.e haa.e
terī maujoñ kā vo andāz-e-tabassum haa.e haa.e
dhīmī dhīmī vo tirī raftār bal khaa.ī huī
vo nazar jheñptī huī chitvan vo sharmā.ī huī
vo surīlī naġhma-e-josh-e-talātum kī sadā
aah vo dilkash tire sāz-e-tarannum kī sadā
brij kī o pāk-dāman o muqaddas nāznīñ
naqsh hai dil par tirī ik ik adā-e-dil-nashīñ
ab kahāñ jamunā tirī maujoñ kī mastāna vo chaal
ab kahāñ paanī ke jharne aur vo lutf-e-barshgāl
ab kahāñ chhoTā sā vo rādhā kā kunj-e-ḳhush-gavār
ab kahāñ vo aah mathurā tere phūloñ kī bahār
ab kahāñ vo bansī vaale kī adā-e-jāñ-navāz
ab kahāñ vo aah murlī kī sadā-e-jāñ-navāz
ab kahāñ vo ḳhalvat-e-rāz-o-niyāz-e-husn-o-ishq
be-sadā zer-e-zamīñ haiñ aah sāz-e-husn-o-ishq
o talavvun-kesh o kāfir-adā aur dūñ-shi.ār
tū ne badle rañg lākhoñ aah vaz-e-rozgār
ḳhaak uTh kar aah sar par dāman-e-sāhil uḌā
TukḌe TukḌe kar jigar ko pāra-hā-e-dil uḌā
sozish-e-ġham se pighal jā aah ai reg-e-ravāñ
zarre zarre meñ tere tasvīr-e-ibrat hai nihāñ
ab kahāñ vo kunj-e-dil-kash ab kahāñ rādhā kā aish
hai ba-rañg-e-ḳhanda-e-gul be-baqā duniyā kā aish
ai ḳhushā qismat tirī jamunā ḳhushā tere nasīb
vāh-vā tere muqaddar vāh-vā tere nasīb
tū ne dekhī hai bahut din murlī vaale kī adā
donoñ-ālam ke hasīnoñ se nirāle kī adā
aur sunī bansī kī hai barsoñ sadā-e-dil-navāz
dāstān-e-dard-e-dil afsāna-e-soz-o-gudāz
mahsharisatān-e-alam kambaḳht hai kar dil ko chaak
chiir pahlū ko ki nikleñ nāla-hā-e-dard-nāk
tā-kujā ye sar-guzasht-e-dāstān-e-dard-o-ġham
chheḌ ai jamunā koī taaza bayān-e-dard-e-ġham
ho na lekin aah terā shor-e-mātam dil-ḳharāsh
tere nāloñ kī sadā ya.anī ho kam kam dil-ḳharāsh
ai lab-e-sāhil sunā sītoñ kī ismat kā bayāñ
parda-e-afsāna meñ soz-e-mohabbat kā bayāñ
tere pahlū meñ hai ye kis hūr-vash kī yādgār
jis se rātoñ ko uThā karte haiñ aahoñ ke sharār
aah farsūda-nishān-e-ismat-e-jāñ-bāz tū
kis parī-paikar kā hai naqsh-e-vafā-e-nāz tū
hai tirī ta.amīr meñ muzmar vahī shān-e-vafā
terī har ḳhisht-e-kuhan hai jauhar-e-kān-e-vafā
ġhul na kar āhista āhista ho ai jamunā ravāñ
tāj-e-ismat kā yahāñ har ik dur-e-yaktā nihāñ
ai zahe shaukat tirī jamunā zahe ezāz-o-shāñ
tujh pe lahrāyā kiyā islām kā sadiyoñ nishāñ
haa.e vo turkoñ ke daste aur sangīnoñ kī shaan
tirchhe-bāñke vo javāñ vo chaar ā.īnoñ kī shaan
be-sadā zer-e-zamīñ hai bazm-e-shāhān-e-ġhayūr
aah jamunā tujh meñ lekin hai vahī shān-e-ġhurūr
aah o shikva-tarāz-e-dast bedād-e-ajal
ro na ḳhūn-e-ārzū o mahv-e-fariyād-e-ajal
aah is dār-e-fanā meñ hai baqā kis ke liye
chhoḌne vaalā hai shāhīn-e-qazā kis ke liye
aah us ḳhvāb-e-shabāna kā hai mujh ko intizār
us surūr-e-āshiqāna kā hai mujh ko intizār
terī ik ik mauj thī jab aah tūfāñ-kosh-e-shauq
halqa-e-girdāb thā jab hāla-e-āġhosh-e-shauq
jab kisī ke gesu-e-pur-ḳham kī saudā.ī thī tū
aur lab-e-sāhil pe rauza kī tamāshā.ī thī tū
aah jamunā tujh ko daur-e-pāstānī kī qasam
shaukat-e-derīna-e-sāhib-qirānī kī qasam
kyā na hoñge tujh ko vo dilkash manāzir phir nasīb
azmat-e-islām ke agle mazāhir phir nasīb
ho ke muztar aah josh-e-iztirāb-e-dil se kyā
yūñhī Takrāyā karegī sar ko tū sāhil se kyā
kaun ye parda-nashīñ hai tere dāman meñ nihāñ
kis kā chehra hai naqāb-e-zulf-e-pur-fan meñ nihāñ
terī maujoñ meñ hai ye kis kī sadā-e-dil-fareb
gā rahī hai kaun ye ġhārat-gar-e-sabr-o-shakeb
ḳhāna-e-dil meñ hai tere kaun mahv-e-raqs-e-nāz
aa rahī hai kis kī chhāgal kī sadā-e-jāñ-navāz
vo saman-andām hai ye shāhid-e-parda-nashīñ
jis ke phūloñ meñ hai ab tak bū-e-firdaus-e-barīñ
hūreñ aa kar ḳhuld se tauf-e-mazār-e-pāk ko
jhāḌtī palkoñ se haiñ gard-o-ḳhas-o-ḳhāshāk ko
aah ai naqsh-e-nigār-e-shaukat-e-ahd-e-kuhan
aah ai ā.īna-dār-e-shaukat-e-ahd-e-kuhan
ham ne naanā tujh meñ ab vo shān-e-barnā.ī nahīñ
vo ġhurūr-e-husn vo tamkīñ vo ra.anā.ī nahīñ
ham ne maanā tere chehre kī ziyā jaatī rahī
terī maujoñ kī vo mastāna adā jaatī rahī
muñh pe gumnāmī kā āñchal le na ai parda-nashīñ
yuuñ hī sargarm-e-ḳhirām-e-nāz rah ai nāznīñ
sar ko Takrāyā kare sāhil se sail-e-rozgār
terī shohrat ke nishāñ sadiyoñ raheñge yādgār
dhimi dhimi bahne wali ek nahr-e-dil-nashin
aab-e-ju chhoTi si ek nazuk KHiram-o-naznin
tishnagi-e-shauq ganga mein bujhane ke liye
ja rahi hai apni hasti ko miTane ke liye
ye wo jamuna hai ki dilkash jis ka hai andaz-e-husn
dekhte hain aah aashiq jis ka KHwab-e-naz-e-husn
ye wo jamuna hai ki gati hain suKHnawar jis ke git
mutriban-e-KHush-gulu ki hain zaban par jis ke git
ye wo jamuna hai jahan le le ke jalwat ke maze
luTe hain ushshaq ne barson mohabbat ke maze
ye wo jamuna hai ki radha si hasin ne muddaton
brij ki ek pak-daman naznin ne muddaton
bansi wale ki judai mein uDa kar sar pe KHak
apne ashkon se kiya hai daman-e-sahil ko pak
ye wo jamuna hai jahan ek banu-e--parda-nashin
aagara mein mahw-e-asaish hai jo zer-e-zamin
ruKH se aahista ulaT kar chadar-e-ab-e-rawan
dekhti thi muskura kar manzar-e-ab-e-rawan
aah ai nahr-e-latafat aah ai bahr-e-jamal
dil mein hai pahlu-nashin ab tak tera naqsh-e-KHayal
garche tujh mein ab nahin wo jalwa-e-shan-e-kuhan
wo hasin to hai ki ai sham-e-shabistan-e-kuhan
husn-e-rafta mein hai tere ab bhi ek dilkash ada
tere kumlae hue phulon mein hai bu-e-wafa
tu hai dariya-e-muqaddas tu ki hai isyan se pak
tera daman hai abhi aalaish-e-insan se pak
teri shaukat ke hain shahid ai wafadar-e-kuhan
tere burjon aur tere qilon ke aasar-e-kuhan
tere sahil se Tapakti ab bhi hai shan-e-buland
aasman-farsa hain ab bhi tere aiwan-e-buland
tere farsuda nishan hain naqsh-e-naz-e-husn-o-ishq
teri maujon mein nihan hai aah-e-raaz-e-husn-o-ishq
aah o rangin-ada o dilli wali naznin
o do-alam ke hasinon se nirali naznin
yaad-e-ayyame ki dilkash the tere naqsh-o-nigar
din muradon ke the aur josh-e-jawani ka ubhaar
chaDh ke jab minar par ek la'bat-e-naz-afrin
dekhti thi teri maujon ki ada-e-dil-nashin
wo kaf-e-sailab wo shor-e-talatum hae hae
teri maujon ka wo andaz-e-tabassum hae hae
dhimi dhimi wo teri raftar bal khai hui
wo nazar jhenpti hui chitwan wo sharmai hui
wo surili naghma-e-josh-e-talatum ki sada
aah wo dilkash tere saz-e-tarannum ki sada
brij ki o pak-daman o muqaddas naznin
naqsh hai dil par teri ek ek ada-e-dil-nashin
ab kahan jamuna teri maujon ki mastana wo chaal
ab kahan pani ke jharne aur wo lutf-e-barshgal
ab kahan chhoTa sa wo radha ka kunj-e-KHush-gawar
ab kahan wo aah mathura tere phulon ki bahaar
ab kahan wo bansi wale ki ada-e-jaan-nawaz
ab kahan wo aah murli ki sada-e-jaan-nawaz
ab kahan wo KHalwat-e-raaz-o-niyaz-e-husn-o-ishq
be-sada zer-e-zamin hain aah saz-e-husn-o-ishq
o talawwun-kesh o kafir-ada aur dun-shiar
tu ne badle rang lakhon aah waz-e-rozgar
KHak uTh kar aah sar par daman-e-sahil uDa
TukDe TukDe kar jigar ko para-ha-e-dil uDa
sozish-e-gham se pighal ja aah ai reg-e-rawan
zarre zarre mein tere taswir-e-ibrat hai nihan
ab kahan wo kunj-e-dil-kash ab kahan radha ka aish
hai ba-rang-e-KHanda-e-gul be-baqa duniya ka aish
ai KHusha qismat teri jamuna KHusha tere nasib
wah-wa tere muqaddar wah-wa tere nasib
tu ne dekhi hai bahut din murli wale ki ada
donon-alam ke hasinon se nirale ki ada
aur suni bansi ki hai barson sada-e-dil-nawaz
dastan-e-dard-e-dil afsana-e-soz-o-gudaz
mahsharisatan-e-alam kambaKHt hai kar dil ko chaak
chir pahlu ko ki niklen nala-ha-e-dard-nak
ta-kuja ye sar-guzasht-e-dastan-e-dard-o-gham
chheD ai jamuna koi taza bayan-e-dard-e-gham
ho na lekin aah tera shor-e-matam dil-KHarash
tere nalon ki sada yani ho kam kam dil-KHarash
ai lab-e-sahil suna siton ki ismat ka bayan
parda-e-afsana mein soz-e-mohabbat ka bayan
tere pahlu mein hai ye kis hur-wash ki yaadgar
jis se raaton ko uTha karte hain aahon ke sharar
aah farsuda-nishan-e-ismat-e-jaan-baz tu
kis pari-paikar ka hai naqsh-e-wafa-e-naz tu
hai teri tamir mein muzmar wahi shan-e-wafa
teri har KHisht-e-kuhan hai jauhar-e-kan-e-wafa
ghul na kar aahista aahista ho ai jamuna rawan
taj-e-ismat ka yahan har ek dur-e-yakta nihan
ai zahe shaukat teri jamuna zahe ezaz-o-shan
tujh pe lahraya kiya islam ka sadiyon nishan
hae wo turkon ke daste aur sanginon ki shan
tirchhe-banke wo jawan wo chaar aainon ki shan
be-sada zer-e-zamin hai bazm-e-shahan-e-ghayur
aah jamuna tujh mein lekin hai wahi shan-e-ghurur
aah o shikwa-taraaz-e-dast bedad-e-ajal
ro na KHun-e-arzu o mahw-e-fariyaad-e-ajal
aah is dar-e-fana mein hai baqa kis ke liye
chhoDne wala hai shahin-e-qaza kis ke liye
aah us KHwab-e-shabana ka hai mujh ko intizar
us surur-e-ashiqana ka hai mujh ko intizar
teri ek ek mauj thi jab aah tufan-kosh-e-shauq
halqa-e-girdab tha jab haala-e-aghosh-e-shauq
jab kisi ke gesu-e-pur-KHam ki saudai thi tu
aur lab-e-sahil pe rauza ki tamashai thi tu
aah jamuna tujh ko daur-e-pastani ki qasam
shaukat-e-derina-e-sahib-qirani ki qasam
kya na honge tujh ko wo dilkash manazir phir nasib
azmat-e-islam ke agle mazahir phir nasib
ho ke muztar aah josh-e-iztirab-e-dil se kya
yunhi Takraya karegi sar ko tu sahil se kya
kaun ye parda-nashin hai tere daman mein nihan
kis ka chehra hai naqab-e-zulf-e-pur-fan mein nihan
teri maujon mein hai ye kis ki sada-e-dil-fareb
ga rahi hai kaun ye ghaarat-gar-e-sabr-o-shakeb
KHana-e-dil mein hai tere kaun mahw-e-raqs-e-naz
aa rahi hai kis ki chhagal ki sada-e-jaan-nawaz
wo saman-andam hai ye shahid-e-parda-nashin
jis ke phulon mein hai ab tak bu-e-firdaus-e-barin
huren aa kar KHuld se tauf-e-mazar-e-pak ko
jhaDti palkon se hain gard-o-KHas-o-KHashak ko
aah ai naqsh-e-nigar-e-shaukat-e-ahd-e-kuhan
aah ai aaina-dar-e-shaukat-e-ahd-e-kuhan
hum ne nana tujh mein ab wo shan-e-barnai nahin
wo ghurur-e-husn wo tamkin wo ranai nahin
hum ne mana tere chehre ki ziya jati rahi
teri maujon ki wo mastana ada jati rahi
munh pe gumnami ka aanchal le na ai parda-nashin
yun hi sargarm-e-KHiram-e-naz rah ai naznin
sar ko Takraya kare sahil se sail-e-rozgar
teri shohrat ke nishan sadiyon rahenge yaadgar
- Tasvir-e-Manazil (Jild Avval)
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.