jamuna-ji
naaz kyuuñ ho na tujhe kirshn dulārī jamunā
tū to rādhā kī sahelī banī pyārī jamunā
rutba aalī hai tirā martaba bhārī jamunā
har jagah faiz-e-atam rahtā hai jaarī jamunā
hai yaqīñ garm kisī din bharī mahfil hogī
rās-manDal kī vo liilā lab-e-sāhil hogī
miT gayā lutf tirā chhin gayā gahnā terā
jab kanhayyā nahīñ be-lutf hai rahnā terā
ġham uThānā sitam-o-jaur ko sahnā terā
paanī ho ho ke shab-o-roz ye bahnā terā
ātish-e-hijr kuchh is darja lagī hai tan meñ
dil na mathurā meñ bahaltā hai na bindrāban meñ
baat bigḌī nahīñ ab bhī hai vahī baat tirī
vahī jaaḌā vahī garmī vahī barsāt tirī
din usī Dhañg usī rañg kī hai raat tirī
kaun kah saktā hai kuchh bhī nahīñ auqāt tirī
kirshn sadqe haiñ to rādhā haiñ fidā.ī jamunā
har taraf ḳhalq meñ hai terī dahā.ī jamunā
saadī saadī hai ravish vaz.a hai bholī-bhālī
hai ravānī bhī ġhazab chaal bhī hai matvālī
niilī maujoñ se pashemāñ huiiñ zulfeñ kaalī
husn-o-ārā.ish-o-zīnat se baḌhī ḳhush-hālī
allāh-allāh re is nāz-o-adā kī hastī
tere aage nahīñ kuchh āb-e-baqā kī hastī
pūchhe rādhā se koī qadr-e-haqīqat terī
kirshn se jāñche koī ḳhūbī-e-izzat terī
saarī duniyā meñ hai phailī huī azmat terī
us ko jannat milī kī jis ne bhī ḳhidmat terī
apnā ham-rutba jo paayā tujhe gañgā-jī ne
apne pahlū meñ biThāyā tujhe gañgā-jī ne
baa.is naaz hai be-shubah himāla ke liye
sabab-e-faḳhr-o-sharf gokul-o-mathurā ke liye
ḳhaas ik nemat-e-haq vādī-o-sahrā ke liye
muḳhtasar ye hai baḌī chiiz hai duniyā ke liye
dil kī sar-basta kalī fart-e-ḳhushī se khul jaa.e
us ko amrit mile jis ko tirā paanī mil jaa.e
sach hai asrār-e-haqīqat kā ḳhazāna tū hai
hāl-o-mustaqbil-o-māzī kā zamāna tū hai
lutf-āgīñ tarab-āmez fasāna tū hai
sab haiñ begāne agar hai to yagāna tū hai
saaf ā.īne kī sūrat hai safā.ī terī
bandagī kyuuñ na kare saarī ḳhudā.ī terī
nigah-e-fazl-o-tarahhum se ishārā kar de
jo na ho kaam kisī se vo ḳhudārā kar de
ranj-o-ġham dard-o-qalaq duur hamārā kar de
pyārī maḳhlūq meñ kuchh aur bhī pyārā kar de
rahnumā.ī tirī 'bismil' ke liye sab kuchh hai
nā-ḳhudā.ī tirī 'bismil' ke liye sab kuchh hai
naz kyun ho na tujhe kirshn dulari jamuna
tu to radha ki saheli bani pyari jamuna
rutba aali hai tera martaba bhaari jamuna
har jagah faiz-e-atam rahta hai jari jamuna
hai yaqin garm kisi din bhari mahfil hogi
ras-manDal ki wo lila lab-e-sahil hogi
miT gaya lutf tera chhin gaya gahna tera
jab kanhayya nahin be-lutf hai rahna tera
gham uThana sitam-o-jaur ko sahna tera
pani ho ho ke shab-o-roz ye bahna tera
aatish-e-hijr kuchh is darja lagi hai tan mein
dil na mathura mein bahalta hai na bindraban mein
baat bigDi nahin ab bhi hai wahi baat teri
wahi jaDa wahi garmi wahi barsat teri
din usi Dhang usi rang ki hai raat teri
kaun kah sakta hai kuchh bhi nahin auqat teri
kirshn sadqe hain to radha hain fidai jamuna
har taraf KHalq mein hai teri dahai jamuna
sadi sadi hai rawish waza hai bholi-bhaali
hai rawani bhi ghazab chaal bhi hai matwali
nili maujon se pasheman huin zulfen kali
husn-o-araish-o-zinat se baDhi KHush-haali
allah-allah re is naz-o-ada ki hasti
tere aage nahin kuchh aab-e-baqa ki hasti
puchhe radha se koi qadr-e-haqiqat teri
kirshn se jaanche koi KHubi-e-izzat teri
sari duniya mein hai phaili hui azmat teri
us ko jannat mili ki jis ne bhi KHidmat teri
apna ham-rutba jo paya tujhe ganga-ji ne
apne pahlu mein biThaya tujhe ganga-ji ne
bais naz hai be-shubah himala ke liye
sabab-e-faKHr-o-sharf gokul-o-mathura ke liye
KHas ek nemat-e-haq wadi-o-sahra ke liye
muKHtasar ye hai baDi chiz hai duniya ke liye
dil ki sar-basta kali fart-e-KHushi se khul jae
us ko amrit mile jis ko tera pani mil jae
sach hai asrar-e-haqiqat ka KHazana tu hai
haal-o-mustaqbil-o-mazi ka zamana tu hai
lutf-agin tarab-amez fasana tu hai
sab hain begane agar hai to yagana tu hai
saf aaine ki surat hai safai teri
bandagi kyun na kare sari KHudai teri
nigah-e-fazl-o-tarahhum se ishaara kar de
jo na ho kaam kisi se wo KHudara kar de
ranj-o-gham dard-o-qalaq dur hamara kar de
pyari maKHluq mein kuchh aur bhi pyara kar de
rahnumai teri 'bismil' ke liye sab kuchh hai
na-KHudai teri 'bismil' ke liye sab kuchh hai
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.