raushniyan
aaj bhī kitnī an-ginat sham.eñ
mere siine meñ jhilmilātī haiñ
kitne aariz kī jhalkiyāñ ab tak
dil meñ sīmīñ varaq luTātī haiñ
kitne hīrā-tarāsh jismoñ kī
bijliyāñ dil meñ kauñd jaatī haiñ
kitnī tāroñ se ḳhush-numā āñkheñ
merī āñkhoñ meñ muskurātī haiñ
kitne hoñToñ kī gul-fishāñ āñcheñ
mere hoñToñ meñ sansanātī haiñ
kitnī shab-tāb reshmī zulfeñ
mere baazū pe sarsarātī haiñ
kitnī ḳhush-rañg motiyoñ se bharī
bāliyāñ dil meñ TimTimātī haiñ
kitnī gorī kalā.iyoñ kī laveñ
dil ke goshoñ meñ jagmagātī haiñ
kitnī rañgīñ hatheliyāñ chhup kar
dhīme dhīme kañval jalātī haiñ
kitnī āñchal se phūTtī kirneñ
mere pahlū meñ rasmasātī haiñ
kitnī pāyal kī shoḳh jhankāreñ
dil meñ chiñgāriyāñ uḌātī haiñ
kitnī añgḌā.iyāñ dhanak ban kar
ḳhud ubhartī haiñ TuuT jaatī haiñ
kitnī gul-posh naqra.ī bāñheñ
dil ko halqe meñ le ke gaatī haiñ
aaj bhī kitnī an-ginat sham.eñ
mere siine meñ jhilmilātī haiñ
apne is jalva-gar tasavvur kī
jāñ-fazā dilkashī se zinda huuñ
in hī biite javān lamhoñ kī
shoḳh-tābindagī se zinda huuñ
yahī yādoñ kī raushnī to hai
aaj jis raushnī se zinda huuñ
aao maiñ tum se e'tirāf karūñ
maiñ isī shā.irī se zinda huuñ
aaj bhi kitni an-ginat shamen
mere sine mein jhilmilati hain
kitne aariz ki jhalkiyan ab tak
dil mein simin waraq luTati hain
kitne hira-tarash jismon ki
bijliyan dil mein kaund jati hain
kitni taron se KHush-numa aankhen
meri aankhon mein muskuraati hain
kitne honTon ki gul-fishan aanchen
mere honTon mein sansanati hain
kitni shab-tab reshmi zulfen
mere bazu pe sarsaraati hain
kitni KHush-rang motiyon se bhari
baaliyan dil mein TimTimati hain
kitni gori kalaiyon ki lawen
dil ke goshon mein jagmagati hain
kitni rangin hatheliyan chhup kar
dhime dhime kanwal jalati hain
kitni aanchal se phuTti kirnen
mere pahlu mein rasmasati hain
kitni payal ki shoKH jhankaren
dil mein chingariyan uDati hain
kitni angDaiyan dhanak ban kar
KHud ubharti hain TuT jati hain
kitni gul-posh naqrai banhen
dil ko halqe mein le ke gati hain
aaj bhi kitni an-ginat shamen
mere sine mein jhilmilati hain
apne is jalwa-gar tasawwur ki
jaan-faza dilkashi se zinda hun
in hi bite jawan lamhon ki
shoKH-tabindagi se zinda hun
yahi yaadon ki raushni to hai
aaj jis raushni se zinda hun
aao main tum se e'tiraf karun
main isi shairi se zinda hun
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.