janam jali
mere baap ne pasandīda aurat girā.ī
aur us ke peT meñ gaalī thuuk dī
razīla kī chhātī se
maiñ ne saañs kī chhāl udheḌī
chamḌe ke bistar se jism ko alāhada kiyā
ruuh kā nañg Dhāñpne ke liye
baan kī chhāgal meñ a.azā kā ta.affun bū diyā
mard kī ragaḌ se hāñpne ke liye
zard putlī se ḳhvāb kā lothḌā phislā
halq meñ aTkā aur maiñ nadāmat ho ga.ī
kasīlī namī ke rañg se
zabān kī kirchī ko āshnā kiyā
mere nathune faqat bheḌoñ kī boss chakh sakte haiñ
hoñT ke kone meñ gandhak ne tā.ūn kā TukḌā rakhā
ḳhauf kī gāñTh se maiñ ne siine ko daaġh diyā
hāmila hone se qabl maiñ ne peT par jhurriyāñ khodīñ
khajūr ke tane se pyaar kiyā
aur apnī piiTh kā lams diyā
ḳhudā kī aañkh ne aañsū chabā liyā
so maiñ bāñjh nahīñ rah sakī
merī kokh meñ tīsrī dāḌhī hai
aur murda hai
mere bap ne pasandida aurat girai
aur us ke peT mein gali thuk di
razila ki chhati se
main ne sans ki chhaal udheDi
chamDe ke bistar se jism ko alahada kiya
ruh ka nang Dhanpne ke liye
ban ki chhagal mein aaza ka taffun bu diya
mard ki ragaD se hanpne ke liye
zard putli se KHwab ka lothDa phisla
halq mein aTka aur main nadamat ho gai
kasili nami ke rang se
zaban ki kirchi ko aashna kiya
mere nathune faqat bheDon ki boss chakh sakte hain
honT ke kone mein gandhak ne taun ka TukDa rakha
KHauf ki ganTh se main ne sine ko dagh diya
hamila hone se qabl main ne peT par jhurriyan khodin
khajur ke tane se pyar kiya
aur apni piTh ka lams diya
KHuda ki aankh ne aansu chaba liya
so main banjh nahin rah saki
meri kokh mein tisri daDhi hai
aur murda hai
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.