janam-kade mein na-jaez aankhen
maiñ TeḌhī paslī kā gustāḳh janam huuñ
jis ke halqoñ meñ bad-tahzīb chīḳhoñ kā hujūm
baġhair ittilā.a diye
naqqāra-e-be-amāñ kā raag alāptā hai
phūñktā hai aañkh aañkh meñ
dhuāñ adh-jale ta.alluqāt kā
mujhe pathrīle ehsās ke pañghoḌoñ meñ khilāyā gayā
sikhā.ī ga.ī be-tartīb zindagī kī bandar-bāñT
qallāsh logoñ ke darmiyān
pheñkā gayā be-dhyānī se
kaun jaane
zindagī kī uThā-paTaḳh maiñ kitne ābgīne chaknā-chūr hue
kis ne maqrūz dastāroñ pe uThā rakhā hai
pairoñ meñ roñdī huī
jannat kā azaab
main TeDhi pasli ka gustaKH janam hun
jis ke halqon mein bad-tahzib chiKHon ka hujum
baghair ittilaa diye
naqqara-e-be-aman ka rag alapta hai
phunkta hai aankh aankh mein
dhuan adh-jale talluqat ka
mujhe pathrile ehsas ke panghoDon mein khilaya gaya
sikhai gai be-tartib zindagi ki bandar-banT
qallash logon ke darmiyan
phenka gaya be-dhyani se
kaun jaane
zindagi ki uTha-paTaKH main kitne aabgine chakna-chur hue
kis ne maqruz dastaron pe uTha rakha hai
pairon mein rondi hui
jannat ka azab
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.