jang
jañg dhartī pe sitāroñ ke liye jaarī hai
haif-sad-haif ki har shai pe junūñ taarī hai
kyā hameñ apne makānoñ meñ na rahne degī
bastiyāñ duur ḳhalāoñ meñ basāne kī lagan
jañg-dar-jañg sulagte haiñ sadāoñ ke badan
sabz rātoñ ke siyah ḳhuun se tar hai dāman
āsmāñ aag nigalne pe hai majbūr to phir
har dishā barf kī mānind pighal jā.egī
zindagī haath se duniyā ke nikal jā.egī
saarī ta.amīr tabāhī meñ badal jā.egī
koī to apnī qabāoñ ko banā kar parcham
nāra-e-amn havāoñ kī jabīñ par likh de
jang dharti pe sitaron ke liye jari hai
haif-sad-haif ki har shai pe junun tari hai
kya hamein apne makanon mein na rahne degi
bastiyan dur KHalaon mein basane ki lagan
jang-dar-jang sulagte hain sadaon ke badan
sabz raaton ke siyah KHun se tar hai daman
aasman aag nigalne pe hai majbur to phir
har disha barf ki manind pighal jaegi
zindagi hath se duniya ke nikal jaegi
sari tamir tabahi mein badal jaegi
koi to apni qabaon ko bana kar parcham
nara-e-amn hawaon ki jabin par likh de
- Book : azadi ke bad urdu nazm (Pg. 675)
- Author : shamim hanfi and mazhar mahdi
- Publication : qaumi council bara-e-farogh urdu (2005)
- Edition : 2005
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.