jang
jang mulkoñ meñ jab bhī hotī hai
log donoñ taraf hī marte haiñ
jiite haare huoñ meñ farq hai kyā
ghar to donoñ taraf ke luTte haiñ
aur luTtā hai
maañ kā har armān
baap kā ḳhvāb
bhaa.ī bahan kā dil
sar se bachchoñ ke sā.ebān kabhī
aur biivī kā āsmān kabhī
dard donoñ taraf sisaktā hai
ḳhuun donoñ taraf ubaltā hai
jang ko jītne kī ḳhushiyāñ bhī
un gharoñ meñ kahīñ nahīñ dikhtīñ
jin ke apne javān sarhad se
apne pairoñ pe ghar nahīñ lauTe
ek tābūt chaar kāñdhoñ par
jis kisī ghar meñ jab bhī aaya hai
dekh kar kaun muskurāyā hai
jang-jū hārtā hai vo phir se
ik na.ī jang chheḌ detā hai
aur ye silsila nahīñ ruktā
nafrateñ nafratoñ kā hal to nahīñ
jang hī jang kā badal to nahīñ
jang se kis kā fā.eda hogā
ab hameñ ye bhī sochnā hogā
mulk aur qaum ke tafāḳhur meñ
jang haivāniyat na ho jaa.e
qatl-e-insāniyat na ho jaa.e
jang mulkon mein jab bhi hoti hai
log donon taraf hi marte hain
jite haare huon mein farq hai kya
ghar to donon taraf ke luTte hain
aur luTta hai
man ka har arman
bap ka KHwab
bhai bahan ka dil
sar se bachchon ke saeban kabhi
aur biwi ka aasman kabhi
dard donon taraf sisakta hai
KHun donon taraf ubalta hai
jang ko jitne ki KHushiyan bhi
un gharon mein kahin nahin dikhtin
jin ke apne jawan sarhad se
apne pairon pe ghar nahin lauTe
ek tabut chaar kandhon par
jis kisi ghar mein jab bhi aaya hai
dekh kar kaun muskuraya hai
jang-ju haarta hai wo phir se
ek nai jang chheD deta hai
aur ye silsila nahin rukta
nafraten nafraton ka hal to nahin
jang hi jang ka badal to nahin
jang se kis ka faeda hoga
ab hamein ye bhi sochna hoga
mulk aur qaum ke tafaKHur mein
jang haiwaniyat na ho jae
qatl-e-insaniyat na ho jae
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.