bahū kahe ye buḌhiyā merī jaan kī laagū ban ke rahegī
saas kahe gaz-bhar kī zabāñ hai apnī muñh aa.ī hī kahegī
bahū kahe jab dekho jab hī ḳhvāhī naḳhvāhī baat baḌhānā
saas pukāre ai mire allāh tauba bhalī ab tū hī bachānā
bahū kahe apnā ghar kaisā yaañ to apne bhī haiñ parā.e
saas kahe jal-bhun ke use to rāj-mahal bhī raas na aa.e
bahū kahe jis ke hāthoñ hai Doī usī kā sab koī hai
saas pukāre jaao jī jaao paañv kī juutī sar pe chaḌhī hai
bahū kahe mujh janm-jalī ko kis ke palle bāñdh diyā hai
saas kahe ab kaun batā.e aage jo aayā hai kis kā kyā hai
bahū kahe ye puut kī dardī bas jo chale to bis hī khilā de
saas kahe vo baat hai apnī gaalī sune aur phir bhī duā de
bahū kahe ab sar pe paḌī hai jaise bhī ho guzar jā.egī
saas kahe jab dekho is ko duudh malīda hī khā.egī
bahū kahe jī jo aatā thā saas ke sāmne bol rahī thī
saas bhī lekin turkī-ba-turkī bhed bahū ke khol rahī thī
nanhe ne ye mauqa.a taaḌā jhaT bāvarchī-ḳhāne pahuñchā
duudh pe aa.ī thī jo milā.ī chupke se us ko khāne pahuñchā
khā ke jo lauTā raah meñ us ne kaalī billī jaate paa.ī
dekh ke us ko Dar ke maare zor kī us ne chīḳh lagā.ī
ek hī chīḳh ne us kī pal meñ saas bahū kā jhagḌā chukāyā
dauḌī bahū mire laal huā kyā saas pukārī haa.e ḳhudāyā
bahu kahe ye buDhiya meri jaan ki lagu ban ke rahegi
sas kahe gaz-bhar ki zaban hai apni munh aai hi kahegi
bahu kahe jab dekho jab hi KHwahi naKHwahi baat baDhana
sas pukare ai mere allah tauba bhali ab tu hi bachana
bahu kahe apna ghar kaisa yan to apne bhi hain parae
sas kahe jal-bhun ke use to raj-mahal bhi ras na aae
bahu kahe jis ke hathon hai Doi usi ka sab koi hai
sas pukare jao ji jao panw ki juti sar pe chaDhi hai
bahu kahe mujh janm-jali ko kis ke palle bandh diya hai
sas kahe ab kaun batae aage jo aaya hai kis ka kya hai
bahu kahe ye put ki dardi bas jo chale to bis hi khila de
sas kahe wo baat hai apni gali sune aur phir bhi dua de
bahu kahe ab sar pe paDi hai jaise bhi ho guzar jaegi
sas kahe jab dekho is ko dudh malida hi khaegi
bahu kahe ji jo aata tha sas ke samne bol rahi thi
sas bhi lekin turki-ba-turki bhed bahu ke khol rahi thi
nanhe ne ye mauqa taDa jhaT bawarchi-KHane pahuncha
dudh pe aai thi jo milai chupke se us ko khane pahuncha
kha ke jo lauTa rah mein us ne kali billi jate pai
dekh ke us ko Dar ke mare zor ki us ne chiKH lagai
ek hi chiKH ne us ki pal mein sas bahu ka jhagDa chukaya
dauDi bahu mere lal hua kya sas pukari hae KHudaya
- Book : Kulliyat Meeraji (Pg. 318)
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.