jang ka matlab
dekho to is moḌ ke aage
chhoTā sā schōl hamārā
lambī sī dīvār ke andar
rang rañgīlā pyārā pyārā
kitne hī to phuul khile haiñ
paude bhī kyā ḳhuub lage haiñ
ghanTī ke bajne kī sadā.eñ
hamd-e-ḳhudā phir rab se duā.eñ
haa.e yakāyak ek dhamākā
ham sab kā dil dahlā jaatā
kaale kaale bam ke gole
maut tabāhī jang ke sho.ale
zan zan nīche aa jaate haiñ
kaisī tabāhī phailāte haiñ
chhat schōl kī gir jaatī hai
mez pe miTTī bhar jaatī hai
aur paude bhī kumhlā jaate
phuul sisakte aaheñ bharte
shahr meñ har sū maut tabāhī
jang ke sho.ale hitler-shāhī
galiyāñ saḌkeñ vīrāñ vīrāñ
jaise har shai hairāñ hairāñ
ammī aur abbā bhī pareshāñ
har-jā maut kā shaitāñ raqsāñ
jang kā matlab aaheñ aañsū
jang kā matlab ḳhuun lahū
dekho to is moD ke aage
chhoTa sa school hamara
lambi si diwar ke andar
rang rangila pyara pyara
kitne hi to phul khile hain
paude bhi kya KHub lage hain
ghanTi ke bajne ki sadaen
hamd-e-KHuda phir rab se duaen
hae yakayak ek dhamaka
hum sab ka dil dahla jata
kale kale bam ke gole
maut tabahi jang ke shoale
zan zan niche aa jate hain
kaisi tabahi phailate hain
chhat school ki gir jati hai
mez pe miTTi bhar jati hai
aur paude bhi kumhla jate
phul sisakte aahen bharte
shahr mein har su maut tabahi
jang ke shoale hitler-shahi
galiyan saDken viran viran
jaise har shai hairan hairan
ammi aur abba bhi pareshan
har-ja maut ka shaitan raqsan
jang ka matlab aahen aansu
jang ka matlab KHun lahu
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.