jang ke dinon mein
jañg ke dinoñ meñ
mohabbat āsān ho jaatī hai
aur zindagī mushkil
ek cigarette ke packet ke badle
sipāhī aap kī jaan le sakte haiñ
aur ek ḳhushbū-dār sabun de kar
aap ek laḌkī kī muskurāhaT
aur jism hāsil kar sakte haiñ
jañg ke dinoñ meñ
log dhamāke aur shor
paḌosī aur jāsūs meñ
farq karnā bhuul jaate haiñ
ḳhandaq ghar meñ badal jaatī hai
aur raushnī black-out ban jaatī hai
aḳhbār tārīḳh likhte haiñ
aur maut har jagah apnā naam
jañg ke dinoñ meñ
din nahīñ nikaltā
saarī duniyā meñ raat rahtī hai
jang ke dinon mein
mohabbat aasan ho jati hai
aur zindagi mushkil
ek cigarette ke packet ke badle
sipahi aap ki jaan le sakte hain
aur ek KHushbu-dar sabun de kar
aap ek laDki ki muskurahaT
aur jism hasil kar sakte hain
jang ke dinon mein
log dhamake aur shor
paDosi aur jasus mein
farq karna bhul jate hain
KHandaq ghar mein badal jati hai
aur raushni black-out ban jati hai
aKHbar tariKH likhte hain
aur maut har jagah apna nam
jang ke dinon mein
din nahin nikalta
sari duniya mein raat rahti hai
- Book : saarii nazmen (Pg. 745)
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.