Font by Mehr Nastaliq Web

aaj ik aur baras biit gayā us ke baġhair

jis ke hote hue hote the zamāne mere

CANCEL DOWNLOAD SHER

jang se hoga kuchh nahin hasil

Siya sachdev

jang se hoga kuchh nahin hasil

Siya sachdev

MORE BYSiya sachdev

    ḳhudā ke vāste nafrat khel ḳhatm karo

    ye dushmanī ye adāvat khel band karo

    ki hogī jang se donoñ taraf barbādī

    mareñge log yaqīnan miTegī ābādī

    lahū bahegā jaleñge makān logo ke

    tabāh hoñge bas is se jahān logo ke

    zamīñ phaTegī to phir āsmān TūTegā

    ye saarī duniyā māhaul chīkh uTThegā

    lagegā daaġh phir insāniyat ke dāman par

    gireñge bam ke ye gole kisī ke āñgan par

    ye jang vaqt tahzīb ko kuchal degī

    ye jang amn ke phūloñ ko bhī masal degī

    is se amn tahzīb tabāhī hai

    ye kaisā zulm hai ye kis bad-nigāhī hai

    na hogā jang se tum ko kabhī bhī kuchh hāsil

    panap na pā.egā sadiyoñ talak ye mustaqbil

    ye jang kuchh nahīñ degī tabāhiyoñ ke sivā

    natīja kuchh bhī na hogā burā.iyoñ ke sivā

    KHuda ke waste nafrat ka khel KHatm karo

    ye dushmani ye adawat ka khel band karo

    ki hogi jang se donon taraf hi barbaadi

    marenge log yaqinan miTegi aabaadi

    lahu bahega jalenge makan logo ke

    tabah honge bas is se jahan logo ke

    zamin phaTegi to phir aasman TuTega

    ye sari duniya ka mahaul chikh uTThega

    lagega dagh phir insaniyat ke daman par

    girenge bam ke ye gole kisi ke aangan par

    ye jang waqt ki tahzib ko kuchal degi

    ye jang amn ke phulon ko bhi masal degi

    ki is se amn ki tahzib ki tabahi hai

    ye kaisa zulm hai ye kis ki bad-nigahi hai

    na hoga jang se tum ko kabhi bhi kuchh hasil

    panap na paega sadiyon talak ye mustaqbil

    ye jang kuchh nahin degi tabahiyon ke siwa

    natija kuchh bhi na hoga buraiyon ke siwa

    0
    COMMENTS
    VIEW COMMENTS VIEW COMMENTS

    Additional information available

    Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.

    OKAY

    About this sher

    Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.

    Close

    rare Unpublished content

    This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.

    OKAY

    Jashn-e-Rekhta | 13-14-15 December 2024 - Jawaharlal Nehru Stadium , Gate No. 1, New Delhi

    Get Tickets
    Speak Now