jangal
ek ajiib sā jañgal hai is shahr ke biich ug aayā
ghanā muhīb aur gahrā jis kī ḳhuub ghanerī chhāyā
yuuñ lagtā hai jaise mere bhītar kā ik saayā
ik din pahle kahīñ nahīñ thā aisā sabz añdherā
ūñchī shāḳhoñ kī partoñ kā gumbad jaisā gherā
dekhūñ phir hairān rahūñ is shahr meñ aisā Derā
kāñToñ vaale zahar bhare bal khāte shāḳhche aage
pīchhe haTte jaa.eñ raste jañgal jaise bhāge
jis bhī ruḳh par paañv dharūñ us dil meñ Dar sā jaage
mere pair ke nīche se ik shāḳh na.ī ug aa.e
tum tak jaatā har ik rasta aise ruktā jaa.e
kyuuñ kar mujh ko milne deñ phir ḳhauf ke bojhal saa.e
ek ajib sa jangal hai is shahr ke bich ug aaya
ghana muhib aur gahra jis ki KHub ghaneri chhaya
yun lagta hai jaise mere bhitar ka ek saya
ek din pahle kahin nahin tha aisa sabz andhera
unchi shaKHon ki parton ka gumbad jaisa ghera
dekhun phir hairan rahun is shahr mein aisa Dera
kanTon wale zahar bhare bal khate shaKHche aage
pichhe haTte jaen raste jangal jaise bhage
jis bhi ruKH par panw dharun us dil mein Dar sa jage
mere pair ke niche se ek shaKH nai ug aae
tum tak jata har ek rasta aise rukta jae
kyun kar mujh ko milne den phir KHauf ke bojhal sae
- Book : Sadiyo.n Jaise Pal (Pg. 30)
- Author : AMBARIN SALAHUDDIN
- Publication : AMBARIN SALAHUDDIN (2014)
- Edition : 2014
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.