jangal
kiiḌe peḌoñ ke jañgal meñ
pattoñ kī kaalī dīvāreñ
dīvāroñ meñ lākhoñ rauzan
rauzan āñkheñ haiñ jañgal kī
vahshī āñkheñ haiñ jañgal kī
tū raahī anjān musāfir
jañgal kā āġhāz na āḳhir
sab raste nāpaid haiñ us ke
sab rāheñ masdūd sarāsar
tū raahī jugnū sā paikar
haar chukā jañgal se laḌ kar
ab aañsū kā diyā jalā.e
to gum-karda-rāh musāfir
aisī pāgal nazroñ se kyuuñ
auj-e-falak kī peshānī par
jhilmil karte us jhūmar ko
ghuur rahā hai
kiDe peDon ke jangal mein
patton ki kali diwaren
diwaron mein lakhon rauzan
rauzan aankhen hain jangal ki
wahshi aankhen hain jangal ki
tu rahi anjaan musafir
jangal ka aaghaz na aaKHir
sab raste napaid hain us ke
sab rahen masdud sarasar
tu rahi jugnu sa paikar
haar chuka jangal se laD kar
ab aansu ka diya jalae
to gum-karda-rah musafir
aisi pagal nazron se kyun
auj-e-falak ki peshani par
jhilmil karte us jhumar ko
ghur raha hai
- Book : Muntakhab Shahkar Nazmon Ka Album) (Pg. 316)
- Author : Munavvar Jameel
- Publication : Haji Haneef Printer Lahore (2000)
- Edition : 2000
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.