jangal mein cricket
jangal meñ one day cricket kā huā anokhā match
bandar ne kī ḳhuub fielding pakḌe chhe chhe catch
zero par langūr gayā to hiran tiin par out
l b w gaiñDā bhāgā nahīñ thā koī doubt
gīdaḌ ne aate hī jaise lī apnī position
kangarō kī geñd thī spin badal ga.ī situation
wicket bachā na paayā gīdaḌ ballā ajab ghumāyā
bandar ke hāthoñ meñ sīdhe apnā catch thamāyā
siiñg hilāte bāra-singhā ne ab baT sañbhālā
kangarō kī second baal thī chuuk gayā bechāra
geñd ghusī stump bikherā gillī chhiTkī duur
ek baḌā score kā sapnā ho gayā āḳhir chuur
lauT chalā jab bāra-singhā bhālū chāchā aa.e
geñd tīsrī kangarō kī vo bhī jhel na paa.e
lagātār tīnoñ geñdoñ par wicket gire the tiin
kangarō ke is over ne badal diyā thā scene
jaldī jaldī wicket gañvā.e bigaḌ ga.ī thī hālat
jame jamā.e hāthī daadā bhej rahe the la.anat
bhālū gayā zebra aaya ab ke ballā thāme
navve par hāthī pahuñchā thā lagā use samjhāne
ballā chamkā geñd uḌī empire bolā six
hāthī ne phir fauran Tokā pahle holo fix
chauke aur chhakke kī bārish thoḌā ruk kar karnā
match agar hai hameñ jītnā wicket bachā.e rakhnā
over nayā liye chītā ab bowling karne aaya
do geñdoñ par lagātār hāthī ne six jamāyā
binā century hāthī ne armān na.e kuchh bāñdhe
chīte kī ik tez geñd ne toḌe sabhī irāde
hāthī ke out hote hī jo aaya vo bebas
not out kā tamġha le kar huā zebra vāpas
kaptānī thī sher ke zimme jiit liyā thā match
bandar ne kī ḳhuub fielding pakḌe chhe chhe catch
jangal mein one day cricket ka hua anokha match
bandar ne ki KHub fielding pakDe chhe chhe catch
zero par langur gaya to hiran tin par out
l b w gainDa bhaga nahin tha koi doubt
gidaD ne aate hi jaise li apni position
kangaroo ki gend thi spin badal gai situation
wicket bacha na paya gidaD balla ajab ghumaya
bandar ke hathon mein sidhe apna catch thamaya
sing hilate bara-singha ne ab baT sanbhaala
kangaroo ki second baal thi chuk gaya bechaara
gend ghusi stump bikhera gilli chhiTki dur
ek baDa score ka sapna ho gaya aaKHir chur
lauT chala jab bara-singha bhaalu chacha aae
gend tisri kangaroo ki wo bhi jhel na pae
lagatar tinon gendon par wicket gire the tin
kangaroo ke is ower ne badal diya tha scene
jaldi jaldi wicket ganwae bigaD gai thi haalat
jame jamae hathi dada bhej rahe the lanat
bhaalu gaya zebra aaya ab ke balla thame
nawwe par hathi pahuncha tha laga use samjhane
balla chamka gend uDi empire bola six
hathi ne phir fauran Toka pahle holo fix
chauke aur chhakke ki barish thoDa ruk kar karna
match agar hai hamein jitna wicket bachae rakhna
ower naya liye chita ab bowling karne aaya
do gendon par lagatar hathi ne six jamaya
bina century hathi ne arman nae kuchh bandhe
chite ki ek tez gend ne toDe sabhi irade
hathi ke out hote hi jo aaya wo bebas
not out ka tamgha le kar hua zebra wapas
kaptani thi sher ke zimme jit liya tha match
bandar ne ki KHub fielding pakDe chhe chhe catch
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.