jangal mein mor
ek din ik mor se kahne lagī ye mornī
ḳhush-sadā hai ḳhush-adā hai ḳhush-qadam ḳhush-rang hai
is bayābāñ tak magar afsos to mahdūd hai
jab kabhī maiñ dekhtī huuñ mahv tujh ko raqs meñ
ek ḳhvāhish be-tarah kartī hai mujh ko be-qarār
kaash tujh ko dekh saktī aañkh har zī ruuh kī
kaash maḳhlūq-e-ḳhudā ho tere fan se faizyāb
mor bolā ai mirī ham-raqs merī ham-navā
tū nahīñ vāqif ki maiñ ghūmā phirā huuñ kis qadar
kitne jangal maiñ ne jhāñke kitnī dekhīñ bastiyāñ
an-ginat āñkhoñ ne dekhā merā fan merā hunar
daad lenā dekhne vāloñ se thā maqsad mirā
is tarah goyā unheñ tasḳhīr kar letā thā maiñ
dekhtā jab un kī āñkhoñ meñ satā.ish kī chamak
bas usī lamhe paroñ ko mere lag jaate the par
phir huā yuuñ ek din daurān-e-raqs
ġhāliban shīshe kā TukḌā yā koī kankar chubhā
raqs to kyā chalne phirne se huā ma.azūr maiñ
rafta rafta ho gayā ahl-e-jahāñ se duur maiñ
baad muddat ek din pahuñchā jo maiñ pinDāl meñ
dekhtā kyā huuñ ki ik tā.ūs-e-ḳhush-qad ḳhush-jamāl
mujh se behtar aur kitnā muḳhtalif
kar rahā thā apne fan se ahl-e-majlis ko nihāl
der tak dekhā kiyā maiñ us ko auroñ kī tarah
yuuñ lagā jaise vo thā merī jagah merī tarah
kārvān-e-zindagī ruktā nahīñ
vaqt kā dariyā kabhī ruktā nahīñ
aaj maiñ kal koī parsoñ koī aur
apnā apnā vaqt apnā apnā daur
raqs kartā huuñ agar maiñ ab to bas apne liye
yā faqat tere liye tere liye tere liye
ek din ek mor se kahne lagi ye morni
KHush-sada hai KHush-ada hai KHush-qadam KHush-rang hai
is bayaban tak magar afsos to mahdud hai
jab kabhi main dekhti hun mahw tujh ko raqs mein
ek KHwahish be-tarah karti hai mujh ko be-qarar
kash tujh ko dekh sakti aankh har zi ruh ki
kash maKHluq-e-KHuda ho tere fan se faizyab
mor bola ai meri ham-raqs meri ham-nawa
tu nahin waqif ki main ghuma phira hun kis qadar
kitne jangal main ne jhanke kitni dekhin bastiyan
an-ginat aankhon ne dekha mera fan mera hunar
dad lena dekhne walon se tha maqsad mera
is tarah goya unhen tasKHir kar leta tha main
dekhta jab un ki aankhon mein sataish ki chamak
bas usi lamhe paron ko mere lag jate the par
phir hua yun ek din dauran-e-raqs
ghaaliban shishe ka TukDa ya koi kankar chubha
raqs to kya chalne phirne se hua mazur main
rafta rafta ho gaya ahl-e-jahan se dur main
baad muddat ek din pahuncha jo main pinDal mein
dekhta kya hun ki ek taus-e-KHush-qad KHush-jamal
mujh se behtar aur kitna muKHtalif
kar raha tha apne fan se ahl-e-majlis ko nihaal
der tak dekha kiya main us ko auron ki tarah
yun laga jaise wo tha meri jagah meri tarah
karwan-e-zindagi rukta nahin
waqt ka dariya kabhi rukta nahin
aaj main kal koi parson koi aur
apna apna waqt apna apna daur
raqs karta hun agar main ab to bas apne liye
ya faqat tere liye tere liye tere liye
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.