nisā jaal kā phailtā silsilā
makānoñ kī chīḳheñ
jakaḌ kar shikanjoñ meñ buniyād ko
toḌtī haiñ jinheñ
harāaval jaḌeñ
zamīñ-bos hotī haiñ ūñchī chhateñ
sabz-māhī marātib uThā.e hue
bandaroñ kī safeñ
āb-e-zerīñ ke ḳhuuñ se hai jis kī numū
sabz hotā hai ab phir vahī suraḳh-rū
nisa jal ka phailta silsila
makanon ki chiKHen
jakaD kar shikanjon mein buniyaad ko
toDti hain jinhen
haraawal jaDen
zamin-bos hoti hain unchi chhaten
sabz-mahi maraatib uThae hue
bandaron ki safen
aab-e-zerin ke KHun se hai jis ki numu
sabz hota hai ab phir wahi suraKH-ru
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.