janm-bhumi ke liye ek nazm
bichhḌī huī galiyoñ kī
yādoñ kā vo mīThā zā.iqa
ehsās ke hoñToñ pe apne
maiñ liye dar-dar phirā
miTTī kī soñdhī baas
sahrā meñ matā-e-jāñ thī
mere vāste ab tak
ye kyā huā
kyoñ yak-ba-yak
apne lahū kā zā.iqa
apnī zabāñ par phail kar
dil meñ haqīqat ke charāġhoñ kī laveñ
kajlā gayā
aḳhbār kī ḳhabroñ ke aage
āyateñ qur.ān kī
giitā ke sab shlok maddham paḌ ga.e
nazroñ meñ mustahsan
zinā kā jurm Thahrā
duudh maañ se baḳhshavāne kī tamanna
aaj murda ho ga.ī
bichhDi hui galiyon ki
yaadon ka wo miTha zaiqa
ehsas ke honTon pe apne
main liye dar-dar phira
miTTi ki sondhi bas
sahra mein mata-e-jaan thi
mere waste ab tak
ye kya hua
kyon yak-ba-yak
apne lahu ka zaiqa
apni zaban par phail kar
dil mein haqiqat ke charaghon ki lawen
kajla gaya
aKHbar ki KHabron ke aage
aayaten quran ki
gita ke sab shlok maddham paD gae
nazron mein mustahsan
zina ka jurm Thahra
dudh man se baKHshawane ki tamanna
aaj murda ho gai
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.