janm din
maiñ aur merī hayāt
yuuñ to donoñ saath saath chalte haiñ
phir bhī ham-kalām nahīñ hote
jaise ek dūsre se nā-āshnā
yā phir donoñ kī zabāneñ judā judā
hālāt kī kashtī meñ Dolte jaate haiñ
anjām se be-ḳhabar ḳhatrāt se be-ḳhatar
aabla jis ke phūTne kā intizār
ek ḳhaar ek kalī kā muhtāj
saal ke bārah mahīne hafte ke saat din
sub.h shaam un meñ phañsā huā maiñ
yahī ibtidā yahī intihā
bas saañs kā bhatta chaltā hai
din lohe kī mānind pighaltā hai
aur maiñ bhī
laavā ban kar ek din
in saal ke bārah mahīnoñ
hafte ke saath dinoñ meñ kabhī
bah jā.ūñgā
main aur meri hayat
yun to donon sath sath chalte hain
phir bhi ham-kalam nahin hote
jaise ek dusre se na-ashna
ya phir donon ki zabanen juda juda
haalat ki kashti mein Dolte jate hain
anjam se be-KHabar KHatraat se be-KHatar
aabla jis ke phuTne ka intizar
ek KHar ek kali ka muhtaj
sal ke barah mahine hafte ke sat din
subh sham un mein phansa hua main
yahi ibtida yahi intiha
bas sans ka bhatta chalta hai
din lohe ki manind pighalta hai
aur main bhi
lawa ban kar ek din
in sal ke barah mahinon
hafte ke sath dinon mein kabhi
bah jaunga
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.