janm din
raat kā shāyad ek bajā hai
paañv thake haiñ sar bhārī hai
āñkheñ ek an-dekhe ḳhudā se
niiñd kī bhikshā maañg ke behad sharminda haiñ
pichhle paiñtālīs kaḌe kosoñ meñ kyā kyā moḌ aa.e haiñ
har chaurāhā
kyā kyā vahm-o-gumāñ laayā hai
kyā āvāzeñ
kānoñ ke pardoñ ko aksar chhed ga.ī haiñ
kyā kyā manzar
dhund bharī āñkhoñ ne dekhe
kaisī zarbeñ zehn ne khā.īñ
kitne kos abhī chalnā hai
kyā chaurāhe kaisī choTeñ
vahm-o-gumāñ āvāzeñ manzar
merā rasta dekhe rahe haiñ
un ko ginnā un kī fikr meñ Duube rahnā lā-hāsil hai
aslī baat bas itnī sī hai
ḳhatm-e-safar tak
apnī laash ko kāñdhā dene kī taufīq nahīñ hai mujh meñ
aur is se bachne kī koī sūrat nahīñ hai
aksar log kahā karte haiñ
hiirā hiire se kaTtā hai
zahr ko maaro zahr se lekin
maiñ vo hiirā kahāñ se lā.ūñ
jis se safar bhī kaT saktā hai
aisā zahr kahāñ miltā hai
jis se fāsle mar jaate haiñ
raat ka shayad ek baja hai
panw thake hain sar bhaari hai
aankhen ek an-dekhe KHuda se
nind ki bhiksha mang ke behad sharminda hain
pichhle paintalis kaDe koson mein kya kya moD aae hain
har chauraha
kya kya wahm-o-guman laya hai
kya aawazen
kanon ke pardon ko aksar chhed gai hain
kya kya manzar
dhund bhari aankhon ne dekhe
kaisi zarben zehn ne khain
kitne kos abhi chalna hai
kya chaurahe kaisi choTen
wahm-o-guman aawazen manzar
mera rasta dekhe rahe hain
un ko ginna un ki fikr mein Dube rahna la-hasil hai
asli baat bas itni si hai
KHatm-e-safar tak
apni lash ko kandha dene ki taufiq nahin hai mujh mein
aur is se bachne ki koi surat nahin hai
aksar log kaha karte hain
hira hire se kaTta hai
zahr ko maro zahr se lekin
main wo hira kahan se laun
jis se safar bhi kaT sakta hai
aisa zahr kahan milta hai
jis se fasle mar jate hain
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.