jannat-e-kashmir
ham jise kahte the jannat
kyā yahī kashmīr hai
shā.iro tum hī batāo
ab jo ye tasvīr hai
kyā vahī kashmīr hai
jis kī sub.h-o-shām par
azmatoñ ke naam par
saikḌoñ nazmeñ likhīñ ajdād ne
dāstāneñ kiiñ raqam
vo farishtoñ kī tarah ma.asūm saare hī bashar
pāk-dāman vo parī-chehra hasīnā.eñ
ki jin ko
huur vo kahte rahe likhte rahe
aur duniyā meñ yahī charchā kiyā
is zamīñ par hai agar jannat kahīñ
bas yahīñ hai bas yahīñ hai bas yahīñ
jhiil kā darpan
sajīle marġh-zār
āsmāñ se baat karte devdār
jhūmte gaate machalte ābshār
shāh-rāhoñ par safede kī qatār
barf meñ lipTe pahāḌoñ ke badan
Dal ke siine par shikāroñ kī phaban
kohsāroñ se pare niilā gagan
muḳhtalif mausam chanāroñ ke badalte pairahan
dekh kar saare manāzir dil-nashīñ
jaane kitne hī musavvir ne banā.e shāhkār
aur phir tash.hīr kī
jannat-e-kashmīr kī
sach batāo shā.iro naqqāsh-o-afsāna-garo
kyā yahī vo jannat-e-kashmīr hai
har taraf māyūsiyāñ mahrūmiyāñ
be-yaqīnī zindagī ġhārat-garī
maut ke saa.e saroñ par har ghaḌī
ḳhauf-o-dahshat kū-ba-kū
zāfrānī ḳhushbuoñ meñ bas ga.ī bārūd bū
gul-kadoñ ke paas faujī chaukiyāñ
nafratoñ ke darmiyāñ
ḳhvāb ho kar rah gayā amn-o-amāñ
sach batāo shā.iro sūrat-garo
ab jo ye tasvīr hai
kyā vahī kashmīr hai jannat-nishāñ
hum jise kahte the jannat
kya yahi kashmir hai
shairo tum hi batao
ab jo ye taswir hai
kya wahi kashmir hai
jis ki subh-o-sham par
azmaton ke nam par
saikDon nazmen likhin ajdad ne
dastanen kin raqam
wo farishton ki tarah masum sare hi bashar
pak-daman wo pari-chehra hasinaen
ki jin ko
hur wo kahte rahe likhte rahe
aur duniya mein yahi charcha kiya
is zamin par hai agar jannat kahin
bas yahin hai bas yahin hai bas yahin
jhil ka darpan
sajile margh-zar
aasman se baat karte dewdar
jhumte gate machalte aabshaar
shah-rahon par safede ki qatar
barf mein lipTe pahaDon ke badan
Dal ke sine par shikaron ki phaban
kohsaron se pare nila gagan
muKHtalif mausam chanaron ke badalte pairahan
dekh kar sare manazir dil-nashin
jaane kitne hi musawwir ne banae shahkar
aur phir tashhir ki
jannat-e-kashmir ki
sach batao shairo naqqash-o-afsana-garo
kya yahi wo jannat-e-kashmir hai
har taraf mayusiyan mahrumiyan
be-yaqini zindagi ghaarat-gari
maut ke sae saron par har ghaDi
KHauf-o-dahshat ku-ba-ku
zafrani KHushbuon mein bas gai barud bu
gul-kadon ke pas fauji chaukiyan
nafraton ke darmiyan
KHwab ho kar rah gaya amn-o-aman
sach batao shairo surat-garo
ab jo ye taswir hai
kya wahi kashmir hai jannat-nishan
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.