jannat-e-kashmir yahi hai
jis ḳhaak kī hai auj pe taqdīr yahī hai
jo radd-e-ġhulāmī kī hai iksīr yahī hai
bedārī-e-jamhūr kī tasvīr yahī hai
āzādī-e-afrād kī ta.amīr yahī hai
ai 'arsh' tire ḳhvāb kī ta.abīr yahī hai
firdaus-e-zamīñ jannat-e-kashmīr yahī hai
is se nahīñ achchhā koī gulzār ise dekh
is se nahīñ baḌh kar koī shahkār ise dekh
is se nahīñ ūñchā koī darbār ise dekh
is se nahīñ behtar koī dīdār ise dekh
fitrat ne jo khīñchī hai vo tasvīr yahī hai
firdaus-e-zamīñ jannat-e-kashmīr yahī hai
shirvānī-e-ma.asūm kī jāgīr na DhūñDo
shirvānī-e-mazlūm kī jāgīr na DhūñDo
shirvānī-e-maḳhdūm kī jāgīr na DhūñDo
shirvānī-e-marhūm kī jāgīr na DhūñDo
shirvānī-e-marhūm kī jāgīr yahī hai
firdaus-e-zamīñ jannat-e-kashmīr yahī hai
gul-posh makāñ aur gul-andām makīñ bhī
kamyāb nahīñ husn zamāne meñ kahīñ bhī
duniyā meñ bahut naqsh haiñ dilkash bhī hasīñ bhī
jo ḳhāma-e-qudrat kī hai tahrīr yahī hai
firdaus-e-zamīñ jannat-e-kashmīr yahī hai
jis husn kā ushshāq sunāte haiñ fasāna
jis husn ke har naaz pe miTtā hai zamāna
jis husn kā hai lab pe muġhannī ke tarānā
jis husn ke jalvoñ kī na had hai na Thikānā
us husn-e-jahāñ-tāb kī tanvīr yahī hai
firdaus-e-zamīñ jannat-e-kashmīr yahī hai
sarmāya-o-mehnat kā hai jo mas.ala-e-ḳhās
iflās-o-imārat kā hai jo mas.ala-e-ḳhās
dahqān kī azmat kā hai jo mas.la-e-ḳhās
mazdūr kī shaukat kā hai jo mas.ala-e-ḳhās
is mas.ala-e-ḳhās kī tafsīr yahī hai
firdaus-e-zamīñ jannat-e-kashmīr yahī hai
ulfat ke payambar haiñ parastār isī ke
iḳhlās kī mai piite haiñ mai-ḳhvār isī ke
mardān-e-mujāhid haiñ talabgār isī ke
hindū hoñ ki muslim haiñ giraftār isī ke
vābasta haiñ sab jis se vo zanjīr yahī hai
firdaus-e-zamīñ jannat-e-kashmīr yahī hai
sarmā.e ke beToñ kī huī ḳhuub dukāñ band
jāgīr-parastoñ pe huī rāh-e-amāñ band
mahkūmī-e-majbūr kī kab se thī zabāñ band
sadiyoñ kī ġhulāmī ke haiñ kis darja garāñ band
kāTegī jo ye band vo shamshīr yahī hai
firdaus-e-zamīñ jannat-e-kashmīr yahī hai
jis KHak ki hai auj pe taqdir yahi hai
jo radd-e-ghulami ki hai iksir yahi hai
bedari-e-jamhur ki taswir yahi hai
aazadi-e-afrad ki tamir yahi hai
ai 'arsh' tere KHwab ki tabir yahi hai
firdaus-e-zamin jannat-e-kashmir yahi hai
is se nahin achchha koi gulzar ise dekh
is se nahin baDh kar koi shahkar ise dekh
is se nahin uncha koi darbar ise dekh
is se nahin behtar koi didar ise dekh
fitrat ne jo khinchi hai wo taswir yahi hai
firdaus-e-zamin jannat-e-kashmir yahi hai
shirwani-e-masum ki jagir na DhunDo
shirwani-e-mazlum ki jagir na DhunDo
shirwani-e-maKHdum ki jagir na DhunDo
shirwani-e-marhum ki jagir na DhunDo
shirwani-e-marhum ki jagir yahi hai
firdaus-e-zamin jannat-e-kashmir yahi hai
gul-posh makan aur gul-andam makin bhi
kamyab nahin husn zamane mein kahin bhi
duniya mein bahut naqsh hain dilkash bhi hasin bhi
jo KHama-e-qudrat ki hai tahrir yahi hai
firdaus-e-zamin jannat-e-kashmir yahi hai
jis husn ka ushshaq sunate hain fasana
jis husn ke har naz pe miTta hai zamana
jis husn ka hai lab pe mughanni ke tarana
jis husn ke jalwon ki na had hai na Thikana
us husn-e-jahan-tab ki tanwir yahi hai
firdaus-e-zamin jannat-e-kashmir yahi hai
sarmaya-o-mehnat ka hai jo masala-e-KHas
iflas-o-imarat ka hai jo masala-e-KHas
dahqan ki azmat ka hai jo masla-e-KHas
mazdur ki shaukat ka hai jo masala-e-KHas
is masala-e-KHas ki tafsir yahi hai
firdaus-e-zamin jannat-e-kashmir yahi hai
ulfat ke payambar hain parastar isi ke
iKHlas ki mai pite hain mai-KHwar isi ke
mardan-e-mujahid hain talabgar isi ke
hindu hon ki muslim hain giraftar isi ke
wabasta hain sab jis se wo zanjir yahi hai
firdaus-e-zamin jannat-e-kashmir yahi hai
sarmae ke beTon ki hui KHub dukan band
jagir-paraston pe hui rah-e-aman band
mahkumi-e-majbur ki kab se thi zaban band
sadiyon ki ghulami ke hain kis darja garan band
kaTegi jo ye band wo shamshir yahi hai
firdaus-e-zamin jannat-e-kashmir yahi hai
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.