jannat se bhi aziz hai KHak-e-watan mujhe
mar kar milī hai chādar-e-ḳhāk-e-vatan mujhe
miTTī ne is zamīñ kī diyā hai kafan mujhe
bhārat kī gard-e-rāh hai mushk-e-ḳhutan mujhe
jannat se bhī aziiz hai ḳhāk-e-vatan mujhe
chup lag ga.ī hai ab nahīñ tāb-e-suḳhan mujhe
nahr-e-laban hai terī jabīñ kī shikan mujhe
chashm-e-karam hai tujh se but-e-teġh-zan mujhe
rūThī huī nigāh nahīñ dil-shikan mujhe
raas aa.e kyā firāq meñ sair-e-chaman mujhe
ġhunche dikhā rahe haiñ jabīñ par shikan mujhe
miT miT ke gard-e-rāh-e-vatan bin rahā huuñ maiñ
piise hazār gardish-e-charḳh-e-kuhan mujhe
iksīr hai nazar meñ mirī ḳhāk-e-pāk-e-hind
ujḌā huā dayār hai faḳhr-e-vatan mujhe
soz-o-gudāz-e-ġham kā huuñ afsāna-e-ḳhamūsh
samjho ba-rang-e-sāz sarāpā suḳhan mujhe
maiñ ġhuncha-e-fasurda huuñ gulzār-e-dahr meñ
bād-e-bahār kar na sakī ḳhanda-zan mujhe
maqtal meñ 'barq' mujh se kashīda hai teġh-e-yār
taḌpā rahī hai dard se bāñkī dulhan mujhe
mar kar mili hai chadar-e-KHak-e-watan mujhe
miTTi ne is zamin ki diya hai kafan mujhe
bhaarat ki gard-e-rah hai mushk-e-KHutan mujhe
jannat se bhi aziz hai KHak-e-watan mujhe
chup lag gai hai ab nahin tab-e-suKHan mujhe
nahr-e-laban hai teri jabin ki shikan mujhe
chashm-e-karam hai tujh se but-e-tegh-zan mujhe
ruThi hui nigah nahin dil-shikan mujhe
ras aae kya firaq mein sair-e-chaman mujhe
ghunche dikha rahe hain jabin par shikan mujhe
miT miT ke gard-e-rah-e-watan bin raha hun main
pise hazar gardish-e-charKH-e-kuhan mujhe
iksir hai nazar mein meri KHak-e-pak-e-hind
ujDa hua dayar hai faKHr-e-watan mujhe
soz-o-gudaz-e-gham ka hun afsana-e-KHamush
samjho ba-rang-e-saz sarapa suKHan mujhe
main ghuncha-e-fasurda hun gulzar-e-dahr mein
baad-e-bahaar kar na saki KHanda-zan mujhe
maqtal mein 'barq' mujh se kashida hai tegh-e-yar
taDpa rahi hai dard se banki dulhan mujhe
- Zabt Shuda Nzmen
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.