jaras-e-gul ki sada
is havas meñ ki pukāre jaras-e-gul kī sadā
dasht-o-sahrā meñ sabā phirtī hai yuuñ āvāra
jis tarah phirte haiñ ham ahl-e-junūñ āvāra
ham pe vāraftagī-e-hosh kī tohmat na dharo
ham ki rummāz-e-rumūz-e-ġham-e-pinhānī haiñ
apnī gardan pe bhī hai rishta-fagan ḳhātir-e-dost
ham bhī shauq-e-rah-e-dildār ke zindānī haiñ
jab bhī abrū-e-dar-e-yār ne irshād kiyā
jis bayābāñ meñ bhī ham hoñge chale ā.eñge
dar khulā dekhā to shāyad tumheñ phir dekh sakeñ
band hogā to sadā de ke chale jā.eñge
is hawas mein ki pukare jaras-e-gul ki sada
dasht-o-sahra mein saba phirti hai yun aawara
jis tarah phirte hain hum ahl-e-junun aawara
hum pe waraftagi-e-hosh ki tohmat na dharo
hum ki rummaz-e-rumuz-e-gham-e-pinhani hain
apni gardan pe bhi hai rishta-fagan KHatir-e-dost
hum bhi shauq-e-rah-e-dildar ke zindani hain
jab bhi abru-e-dar-e-yar ne irshad kiya
jis bayaban mein bhi hum honge chale aaenge
dar khula dekha to shayad tumhein phir dekh saken
band hoga to sada de ke chale jaenge
- Book : Nuskha Hai Wafa (Kulliyat-e-Faiz) (Pg. 448)
- Publication : Educational Publishing House (2009)
- Edition : 2009
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.