jashn-e-azadi-e-hind hai ye
jashn-e-āzādi-e-hind hai ye
dhaj tirañge kī dekho nirālī
ham ne ūñchā kiyā jab ye parcham
āsmāñ ne bhī gardan jhukā lī
desh bhagtoñ ko shardhānjlī ho
desh bhārat kī izzat bachā lī
āzādī-e-vatan ke liye kaam kar ga.e
har chaal sāmrāj kī nākām kar ga.e
tārīḳh-e-hind meñ vo baḌā kaam kar ga.e
jo musībat unheñ pesh aa.ī
ḳhush-dilī se gale vo lagā lī
desh bhagtoñ ko shardhānjlī ho
desh bhārat kī izzat bachā lī
umDā huā ġhulāmī kā bādal haTā diyā
sūraj vo ban ke chamke añdherā haTā diyā
kirnoñ se apnī saarā vatan jagmagā diyā
har taraf āsmān-e-vatan par
chhā rahī thī ghaTā kaalī kaalī
desh bhagtoñ ko shardhānjlī ho
desh bhārat kī izzat bachā lī
vo mauj-e-tez dekhiye mañjdhār dekhiye
aapas meñ ektā kā chamatkār dekhiye
mil-jul ke beḌā kar diyā ye paar dekhiye
mil ke hindū musalmān sab ne
biich tūfāñ se kashtī nikālī
desh bhagtoñ ko shardhānjlī ho
desh bhārat kī izzat bachā lī
maulānā in meñ koī thā koī mahātmā
sab ne kiyā hai mil ke ġhulāmī kā ḳhātma
sab ko duā.eñ detī hai bhārat kī aatmā
vo ġhulāmī kī jo hathkaḌī thī
sab ke hāthoñ ne vo toḌ Daalī
desh bhagtoñ ko shardhānjlī ho
desh bhārat kī izzat bachā lī
jashn-e-azadi-e-hind hai ye
dhaj tirange ki dekho nirali
hum ne uncha kiya jab ye parcham
aasman ne bhi gardan jhuka li
desh bhagton ko shardhanjli ho
desh bhaarat ki izzat bacha li
aazadi-e-watan ke liye kaam kar gae
har chaal samraj ki nakaam kar gae
tariKH-e-hind mein wo baDa kaam kar gae
jo musibat unhen pesh aai
KHush-dili se gale wo laga li
desh bhagton ko shardhanjli ho
desh bhaarat ki izzat bacha li
umDa hua ghulami ka baadal haTa diya
suraj wo ban ke chamke andhera haTa diya
kirnon se apni sara watan jagmaga diya
har taraf aasman-e-watan par
chha rahi thi ghaTa kali kali
desh bhagton ko shardhanjli ho
desh bhaarat ki izzat bacha li
wo mauj-e-tez dekhiye manjdhaar dekhiye
aapas mein ekta ka chamatkar dekhiye
mil-jul ke beDa kar diya ye par dekhiye
mil ke hindu musalman sab ne
bich tufan se kashti nikali
desh bhagton ko shardhanjli ho
desh bhaarat ki izzat bacha li
maulana in mein koi tha koi mahatma
sab ne kiya hai mil ke ghulami ka KHatma
sab ko duaen deti hai bhaarat ki aatma
wo ghulami ki jo hathkaDi thi
sab ke hathon ne wo toD Dali
desh bhagton ko shardhanjli ho
desh bhaarat ki izzat bacha li
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.