hai masarrat se sarshār saarā jahāñ
har taraf raushnī zindagī kā samāñ
tīrgī ban ga.ī aaj ik dāstāñ
sham.a-e-iḳhlās har samt hai zau-fishāñ
hai fazā bhī javāñ aur mausam hasīñ
surḳh-rū haiñ umañgeñ bhī dil ke qarīñ
chāñd tāroñ se baḌh kar hai ujlī zamīñ
lamha lamha ḳhushī kā huā hai amiiñ
sochtā kyā hai tū ai mire ham-navā
giit iḳhlās ke zer-e-lab gungunā
zindagī ke fazāoñ meñ dīpak chalā
hind ke zarre zarre ko raushan banā
aa gayā aaj ḳhushiyāñ manāne kā din
jhuum jaane kā din muskurāne kā din
hai masarrat se sarshaar sara jahan
har taraf raushni zindagi ka saman
tirgi ban gai aaj ek dastan
shama-e-iKHlas har samt hai zau-fishan
hai faza bhi jawan aur mausam hasin
surKH-ru hain umangen bhi dil ke qarin
chand taron se baDh kar hai ujli zamin
lamha lamha KHushi ka hua hai amin
sochta kya hai tu ai mere ham-nawa
git iKHlas ke zer-e-lab gunguna
zindagi ke fazaon mein dipak chala
hind ke zarre zarre ko raushan bana
aa gaya aaj KHushiyan manane ka din
jhum jaane ka din muskurane ka din
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.