jashn-e-jamhuriyat
jashn-e-jamhūriyat ab manā.eñ
diip yuuñ ham ḳhushī ke jalā.eñ
aa.ī chhabbīs phir january
hausloñ meñ huī tāzgī
rafta rafta ham aage baḌheñ
phir taraqqī kā sāmān kareñ
kār-ḳhāne machine aslaha
har machine ham banā.eñ zarā
kaam se ham ko raġhbat bhī ho
desh kī yuuñ hifāzat bhī ho
saare dharmoñ kā sammān ho
bhārtī jo ho yak jaan ho
naġhme jamhūr ke gungunā.eñ
ham sadā yuuñ hī ḳhushiyāñ manā.eñ
jashn-e-jamhuriyat ab manaen
dip yun hum KHushi ke jalaen
aai chhabbis phir january
hauslon mein hui tazgi
rafta rafta hum aage baDhen
phir taraqqi ka saman karen
kar-KHane machine aslaha
har machine hum banaen zara
kaam se hum ko raghbat bhi ho
desh ki yun hifazat bhi ho
sare dharmon ka samman ho
bhaarti jo ho yak jaan ho
naghme jamhur ke gungunaen
hum sada yun hi KHushiyan manaen
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.