jashn-e-naushin
gharoñ se bachcho nikal aao gir rahī hai barf
bajāo tāliyāñ aur gaao gir rahī hai barf
falak se farsh-e-zamīñ par baras rahā hai nuur
chhatoñ pe khetoñ pe shāḳhoñ pe bas rahā hai nuur
chaman hai nuur kī ik naav gir rahī hai barf
fazā meñ chāroñ taraf surma.ī ujālā hai
thī buuñd paanī kī ab ruī kā jo gaalā hai
diloñ ko shauq se garmāo gir rahī hai barf
hai narm aisī ki phūloñ ko gudgudī aa.e
safed aisī ki bagule kā par bhī sharmā.e
milā ke guḌ meñ ise khaao gir rahī hai barf
banāo qaus-e-quzah barf par girā kar rang
baḌhāo barf ke kheloñ se apne dil kī umang
phisal ke barf pe dikhlāo gir rahī hai barf
tarāsho barf ke putle manāo yaḳh kī bahār
uchhālo barf kī geñdeñ uḌaao yaḳh kī phuvār
chalo ki park meñ be-bhāv gir rahī hai barf
gharoñ se bachcho nikal aao gir rahī hai barf
bajāo tāliyāñ aur gaao gir rahī hai barf
gharon se bachcho nikal aao gir rahi hai barf
bajao taliyan aur gao gir rahi hai barf
falak se farsh-e-zamin par baras raha hai nur
chhaton pe kheton pe shaKHon pe bas raha hai nur
chaman hai nur ki ek naw gir rahi hai barf
faza mein chaaron taraf surmai ujala hai
thi bund pani ki ab rui ka jo gala hai
dilon ko shauq se garmao gir rahi hai barf
hai narm aisi ki phulon ko gudgudi aae
safed aisi ki bagule ka par bhi sharmae
mila ke guD mein ise khao gir rahi hai barf
banao qaus-e-quzah barf par gira kar rang
baDhao barf ke khelon se apne dil ki umang
phisal ke barf pe dikhlao gir rahi hai barf
tarasho barf ke putle manao yaKH ki bahaar
uchhaalo barf ki genden uDao yaKH ki phuwar
chalo ki park mein be-bhaw gir rahi hai barf
gharon se bachcho nikal aao gir rahi hai barf
bajao taliyan aur gao gir rahi hai barf
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.