jashn
kargasoñ kī hukūmat se sahme hue
bulbuloñ kī surīlī sī āvāz meñ
ek muddat se ahl-e-chaman ne yahāñ
koī naġhma ye sach hai sunā hī nahīñ
phuul ke jism par rang-o-bū kī jagah
gahrī gahrī ḳharāsheñ haiñ dukh-dard kī
patte patte pe shabnam nahīñ pyaar kī
patte patte pe hai gard-e-nafrat jamī
buuTe buuTe pe ab koī bhauñrā nahīñ
buuTe buuTe pe raqs-e-sharar 'aam hai
aisī vahshat ke 'ālam meñ sach-much yahāñ
ruup saarā ḳhizāñ meñ bahāroñ kā ḳhud
muntaqil ho gayā muskurāte hue
jām-o-mīnā meñ saaqī bhī mai kī jagah
pyaas hī pyaas bhar bhar ke dene lagā
ik valī apne sachche suḳhan bhuul kar
zindagī kī bahāroñ ko khone lagā
mīr-o-ġhālib bhī ġhazloñ se bachne lage
shā'irī kī jagah ḳhāmushī oḌh kar
daaġh bhī daaġh siine pe lene lage
mīr-anīs aur 'saudā' bhī chup ho ga.e
marsiya aur qasīda bhī chup ho ga.e
'hālī'-o-'josh'-o-'iqbāl' bhī dekhiye
ḳhushk sūraj ke lab ko bhigone kā fan
bhuul kar maqsad-e-shā.irī zehn meñ
'aish-o-'ishrat kī bātoñ ko bone lage
aisī vahshat ke 'ālam meñ ai ham-nafas
kaun jashn-e-bahārāñ kī bāteñ kare
kargason ki hukumat se sahme hue
bulbulon ki surili si aawaz mein
ek muddat se ahl-e-chaman ne yahan
koi naghma ye sach hai suna hi nahin
phul ke jism par rang-o-bu ki jagah
gahri gahri KHarashen hain dukh-dard ki
patte patte pe shabnam nahin pyar ki
patte patte pe hai gard-e-nafrat jami
buTe buTe pe ab koi bhaunra nahin
buTe buTe pe raqs-e-sharar 'am hai
aisi wahshat ke 'alam mein sach-much yahan
rup sara KHizan mein bahaaron ka KHud
muntaqil ho gaya muskuraate hue
jam-o-mina mein saqi bhi mai ki jagah
pyas hi pyas bhar bhar ke dene laga
ek wali apne sachche suKHan bhul kar
zindagi ki bahaaron ko khone laga
mir-o-ghaalib bhi ghazlon se bachne lage
sha'iri ki jagah KHamushi oDh kar
dagh bhi dagh sine pe lene lage
mir-anis aur 'sauda' bhi chup ho gae
marsiya aur qasida bhi chup ho gae
'haali'-o-'josh'-o-'iqbaal' bhi dekhiye
KHushk suraj ke lab ko bhigone ka fan
bhul kar maqsad-e-shairi zehn mein
'aish-o-'ishrat ki baaton ko bone lage
aisi wahshat ke 'alam mein ai ham-nafas
kaun jashn-e-bahaaran ki baaten kare
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.