jawab do
kyā mujhe apnā banāne ke liye aa.ī ho
yā mirā dard baḌhāne ke liye aa.ī ho
jab fidā ho ga.e īmāñ pe butān-e-āzar
ek but-ḳhāna basāne ke liye aa.ī ho
jab ki ik sham.a bhī baaqī na rahī duniyā meñ
mish.al-e-dil ko jalāne ke liye aa.ī ho
kis liye aaj haiñ maḳhmūr tumhārī āñkheñ
kyā mirī pyaas bujhāne ke liye aa.ī ho
mujh se kah kar maiñ tumheñ yaad bahut aatā huuñ
kyā mire dil ko lubhāne ke liye aa.ī ho
ek muddat se jo ḳhvābīda haiñ mere dil meñ
phir vo armān jagāne ke liye aa.ī ho
ḳhvāb-e-hastī bhī bhulā dogī mirī jaan mujhe
yā ki nīñdoñ ko basāne ke liye aa.ī ho
ab pashemān ho ke aa.ī ho kyā maazī par
yā mujhe aur satāne ke liye aa.ī ho
pyaar kī pahlī ġhazal ban ke ho aa.ī yā phir
āḳhirī giit sunāne ke liye aa.ī ho
aa.ī ho tum mire zaḳhmoñ pe lagāne marham
yā na.e zaḳhm lagāne ke liye aa.ī ho
kya mujhe apna banane ke liye aai ho
ya mera dard baDhane ke liye aai ho
jab fida ho gae iman pe butan-e-azar
ek but-KHana basane ke liye aai ho
jab ki ek shama bhi baqi na rahi duniya mein
mishal-e-dil ko jalane ke liye aai ho
kis liye aaj hain maKHmur tumhaari aankhen
kya meri pyas bujhane ke liye aai ho
mujh se kah kar main tumhein yaad bahut aata hun
kya mere dil ko lubhane ke liye aai ho
ek muddat se jo KHwabida hain mere dil mein
phir wo arman jagane ke liye aai ho
KHwab-e-hasti bhi bhula dogi meri jaan mujhe
ya ki nindon ko basane ke liye aai ho
ab pasheman ho ke aai ho kya mazi par
ya mujhe aur satane ke liye aai ho
pyar ki pahli ghazal ban ke ho aai ya phir
aaKHiri git sunane ke liye aai ho
aai ho tum mere zaKHmon pe lagane marham
ya nae zaKHm lagane ke liye aai ho
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.