jawab
sūraj ne jaate jaate baḌī tamkanat ke saath
zulmat meñ Dūbtī huī duniyā pe kī nazar
kahne lagā ki kaun hai ab us kā pāsbāñ
mere sivā hai kaun zamāne kā rāhbar
maiñ thā to apnī raah pe thī gāmzan hayāt
ab maiñ nahīñ rahūñgā to ye saarī kā.enāt
zulmāt meñ bhaTaktī phiregī tamām raat
sūraj ye kah ke jā hī rahā thā ki ik diyā
chupke se jal uThā aur use dekhne lagā
suraj ne jate jate baDi tamkanat ke sath
zulmat mein Dubti hui duniya pe ki nazar
kahne laga ki kaun hai ab us ka pasban
mere siwa hai kaun zamane ka rahbar
main tha to apni rah pe thi gamzan hayat
ab main nahin rahunga to ye sari kaenat
zulmat mein bhaTakti phiregi tamam raat
suraj ye kah ke ja hi raha tha ki ek diya
chupke se jal uTha aur use dekhne laga
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.