jawab
jo kuchh bhī haiñ jaise bhī haiñ
mere dukh to mere dukh haiñ
maiñ kyoñ tum ko daaġh dikhā.ūñ
maiñ kyoñ tum se marham chāhūñ
maiñ kyoñ apnī baat gañvā.ūñ
bol uThūñ bhī to kyā hogā
jaan sakoge pal meñ kyā kyā
hastī itnī āsāñ kab hai
maano kahnā
mujh se mere dukh mat pūchho
jo kuchh bhi hain jaise bhi hain
mere dukh to mere dukh hain
main kyon tum ko dagh dikhaun
main kyon tum se marham chahun
main kyon apni baat ganwaun
bol uThun bhi to kya hoga
jaan sakoge pal mein kya kya
hasti itni aasan kab hai
mano kahna
mujh se mere dukh mat puchho
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.