jawahar lal nehru
Interesting Fact
This Nazm is employs an acrostic verse form in which the initials of the first and second lines form the word Jawaharlal Nehru.
jān-e-hindostān thā nehru
jaise us kī zabāñ meñ thā jaadū
vo vajāhat vo shaan thī us meñ
vāqa.ī ān-bān thī us meñ
amn-e-ālam kā vo payāmī thā
al-ġharaz dostī kā haamī thā
hind ke āsmāñ kā taarā thā
ham ko us ne bahut sañvārā thā
rūh-parvar ruḳh-o-jamāl us kā
raushnī irtiqā ḳhayāl us kā
lams-e-gul se rahā mo.attar bhī
la.al bhī vo thā aur javāhar bhī
ilm-o-hikmat se pyaar kartā thā
aql vo iḳhtiyār kartā thā
lab pe jai hind us ke na.ara thā
lenā āzādī sirf manshā thā
nūr-afzā haiñ yuuñ karam us ke
naqsh meñ har taraf qadam us ke
har nafas ehtirām karte haiñ
ham use sab salām karte haiñ
rañg us ne diyā fasāne ko
raushnī de gayā zamāne ko
vo ki bachchoñ ko sab se pyārā thā
vo mohabbat kā isti.āra thā
jaan-e-hindostan tha nehru
jaise us ki zaban mein tha jadu
wo wajahat wo shan thi us mein
waqai aan-ban thi us mein
amn-e-alam ka wo payami tha
al-gharaz dosti ka hami tha
hind ke aasman ka tara tha
hum ko us ne bahut sanwara tha
ruh-parwar ruKH-o-jamal us ka
raushni irtiqa KHayal us ka
lams-e-gul se raha moattar bhi
lal bhi wo tha aur jawahar bhi
ilm-o-hikmat se pyar karta tha
aql wo iKHtiyar karta tha
lab pe jai hind us ke nara tha
lena aazadi sirf mansha tha
nur-afza hain yun karam us ke
naqsh mein har taraf qadam us ke
har nafas ehtiram karte hain
hum use sab salam karte hain
rang us ne diya fasane ko
raushni de gaya zamane ko
wo ki bachchon ko sab se pyara tha
wo mohabbat ka istiara tha
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.