jawan hota buDhapa
maiñ umr kī gintī to ulTī nahīñ kar saktā
par maiñ badalnā chāhtā huuñ
tumhārī paramparik soch
taaki ḳhud ko mahsūs kar sakūñ
javāñ aur hausla-mand
naqlī daañt lagā kar TuuTe sapne nahīñ dekhūñgā
unhīñ hālāt meñ ḳhvāboñ kī na.ī niiv rakhūñgā
bāloñ ko rañgne kī bajā.e na.e indr-dhanush rachūñgā
chashme ke baḌhte numberoñ ko bhuul aur na.e aks talāshūñgā
qadam laḌkhaḌāne ke pahle hī
apnī lāThī ko mazbūt karūñgā
shor par dhyān dene kī jagah
jo bhī jīvan bhar na sun paayā vo giit sunūñgā
merī jhukī kamar par taras khaa.e koī
us se pahle kisī dost kā haath thaam lūñgā
mere buḌhāpe par taras mat khaao javānoñ
maiñ is umr meñ bhī tum sā naujavāñ lagūñgā
haañ maiñ vo diyā kā kā nāTak dohrā.ūñgā
jo pahle kabhī khelā gayā thā
gar is umañgoñ ne saath diyā to buḌhāpe meñ javānī kā
ek nayā itihās rachūñgā
main umr ki ginti to ulTi nahin kar sakta
par main badalna chahta hun
tumhaari paramparik soch
taki KHud ko mahsus kar sakun
jawan aur hausla-mand
naqli dant laga kar TuTe sapne nahin dekhunga
unhin haalat mein KHwabon ki nai niw rakhunga
baalon ko rangne ki bajae nae indr-dhanush rachunga
chashme ke baDhte numberon ko bhul aur nae aks talashunga
qadam laDkhaDane ke pahle hi
apni laThi ko mazbut karunga
shor par dhyan dene ki jagah
jo bhi jiwan bhar na sun paya wo git sununga
meri jhuki kamar par taras khae koi
us se pahle kisi dost ka hath tham lunga
mere buDhape par taras mat khao jawanon
main is umr mein bhi tum sa naujawan lagunga
han main wo diya ka ka naTak dohraunga
jo pahle kabhi khela gaya tha
gar is umangon ne sath diya to buDhape mein jawani ka
ek naya itihas rachunga
- Book : Kya Keh Rahi hai Zindagi (Pg. 71)
- Author : Mamta Tiwari
- Publication : Pahle Pahel Parkashan (2011)
- Edition : 2011
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.