jawani
bedār huiiñ mahr-e-javānī kī shuā.eñ
paḌne lagīñ aalam kī isī samt nigāheñ
ḳhvābīda the jazbāt badalne lage karvaT
rū-e-sharar-e-tūr se ha.Tne lagā ghūñgat
bharne lage baazū to hue band-e-qabā tañg
chaḌhne lagā tiflī pe javānī kā nayā rañg
sāġhar kī khanak ban ga.ī us shoḳh kī āvāz
barbat kī huī gudgudī yā jaag uThe saaz
a.azā meñ lachak hai to hai ik loch kamar meñ
a.asāb meñ paara hai to bijlī hai nazar meñ
aane lagī har baat pe ruk ruk ke hañsī ab
rañgīn tamavvuj se girāñ-bār hue lab
vo dekh badalte hue pahlū koī uTThā
vo dekh bigāḌe hue gesū koī uTThā
vo dekh ki kis gul kī mahak phailī hai har-sū
vo dekh ki hai kaun ravāñ bajte haiñ ghuñgrū
kam-baḳht ajal thī ye javānī kī qabā meñ
TukḌe haiñ kisī dil ke bhī naqsh-e-kaf-e-pā meñ
bedar huin mahr-e-jawani ki shuaen
paDne lagin aalam ki isi samt nigahen
KHwabida the jazbaat badalne lage karwaT
ru-e-sharar-e-tur se haTne laga ghungat
bharne lage bazu to hue band-e-qaba tang
chaDhne laga tifli pe jawani ka naya rang
saghar ki khanak ban gai us shoKH ki aawaz
barbat ki hui gudgudi ya jag uThe saz
aaza mein lachak hai to hai ek loch kamar mein
aasab mein para hai to bijli hai nazar mein
aane lagi har baat pe ruk ruk ke hansi ab
rangin tamawwuj se giran-bar hue lab
wo dekh badalte hue pahlu koi uTTha
wo dekh bigaDe hue gesu koi uTTha
wo dekh ki kis gul ki mahak phaili hai har-su
wo dekh ki hai kaun rawan bajte hain ghungru
kam-baKHt ajal thi ye jawani ki qaba mein
TukDe hain kisi dil ke bhi naqsh-e-kaf-e-pa mein
- Book : Kulliyat-e-Makhdum Muhi-ud-din (Pg. 107)
- Author : Farooq Argali
- Publication : Farid Book Depot Pvt. Ltd. (2011)
- Edition : 2011
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.