jawaz
dabīz ḳhvāboñ kī chādareñ oḌh kar mutma.in huuñ
ki zindagī kā javāz is ke sivā nahīñ hai
janam janam se pukārtī haiñ udaas āñkheñ
sarāpā ijz-o-sipās āñkheñ
magar na koī nazar meñ ubhrā
na koī dil ke qarīñ se guzrā
thakī thakī sī
bujhī bujhī sī
kiran kiran hasrateñ Dhalī haiñ
dabīz ḳhvāboñ kī chādaroñ meñ
dabīz ḳhvāboñ kī chādareñ oḌh kar mutma.in huuñ
dabiz KHwabon ki chadaren oDh kar mutmain hun
ki zindagi ka jawaz is ke siwa nahin hai
janam janam se pukarti hain udas aankhen
sarapa ijz-o-sipas aankhen
magar na koi nazar mein ubhra
na koi dil ke qarin se guzra
thaki thaki si
bujhi bujhi si
kiran kiran hasraten Dhali hain
dabiz KHwabon ki chadaron mein
dabiz KHwabon ki chadaren oDh kar mutmain hun
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.