jawaz
ka.ī dinoñ se
udaas huuñ maiñ
javāz kyā hai pata nahīñ hai
kisī ne
kuchh bhī kahā nahīñ hai
burā bhī to
kuchh huā nahīñ hai
kisī se
dil bhī dukhā nahīñ hai
ḳhatā bhī
koī huī nahīñ hai
sazā bhī
koī milī nahīñ hai
javāz kyā hai
udaas huuñ maiñ
abhī to
niklā huuñ mall se maiñ
tamām ḳhushiyāñ
ḳharīd kar ke
magar
ye thaile
to bojh se haiñ
vo saarī chīzeñ
jo ḳhvāhishoñ meñ haiñ dūsroñ kī
vo mujh ko hāsil haiñ phir bhī mujh ko ḳhushī nahīñ hai
javāz kyā hai
udaas huuñ maiñ
colleague office meñ
ḳhush haiñ mujh se
hai mere yāroñ ko
naaz mujh par
bahut se logoñ ke
dil meñ ghar hai
tamām rishta nibhā rahā huuñ
kahīñ pe koī kamī nahīñ hai
magar maiñ ḳhud se
kaTā kaTā huuñ
judā judā huuñ
javāz kyā hai
udaas huuñ maiñ
abhī to baiThā thā
saath yāroñ ke qahqahoñ meñ
abhī to
mahfil jamī huī thī
abhī to
maiñ ne ġhazal kahī thī
abhī to
logoñ ne daad dī thī
ye sab
ḳhushī thī
magar
ye mujh meñ
kahīñ nahīñ thī
javāz kyā hai
udaas huuñ maiñ
abhī to maiñ ne
dinner kiyā thā
shahr ke maḳhsūs restaurant meñ
hasīn waiters ne muskurāhaT se
mujh ko Table sajā ke dī thī
tamām khāne lazīz the par
mire liye kuchh maza nahīñ thā
javāz kyā hai
udaas huuñ maiñ
na.e color se
purāne parde badal diye haiñ
ḳharīd laayā huuñ
chaa.e kā cup branded ik
tamām qismoñ ke phuul
gamloñ meñ lā ke maiñ ne
sajā diye haiñ
purānā T V
badal diyā hai
tamām channel bhī maiñ ne
H D meñ le liye haiñ
hazār mauzūa pe serial haiñ
har ek ġhenre kī in pe filmeñ bharī paḌī haiñ
magar maiñ
channel badal rahā huuñ
kahīñ bhī lagtā to jī nahīñ hai
mujhe kahīñ bhī
sukūñ nahīñ hai
ḳhushī ke
sāmān to bahut haiñ
magar kisī meñ ḳhushī nahīñ hai
javāz kyā hai
udaas huuñ maiñ
ye nazm
paḌhnā
to lauT aanā
tumheñ ye shāyad pata nahīñ hai
bahut ziyāda
udaas huuñ maiñ
javāz tum ho
kai dinon se
udas hun main
jawaz kya hai pata nahin hai
kisi ne
kuchh bhi kaha nahin hai
bura bhi to
kuchh hua nahin hai
kisi se
dil bhi dukha nahin hai
KHata bhi
koi hui nahin hai
saza bhi
koi mili nahin hai
jawaz kya hai
udas hun main
abhi to
nikla hun mall se main
tamam KHushiyan
KHarid kar ke
magar
ye thaile
to bojh se hain
wo sari chizen
jo KHwahishon mein hain dusron ki
wo mujh ko hasil hain phir bhi mujh ko KHushi nahin hai
jawaz kya hai
udas hun main
colleague office mein
KHush hain mujh se
hai mere yaron ko
naz mujh par
bahut se logon ke
dil mein ghar hai
tamam rishta nibha raha hun
kahin pe koi kami nahin hai
magar main KHud se
kaTa kaTa hun
juda juda hun
jawaz kya hai
udas hun main
abhi to baiTha tha
sath yaron ke qahqahon mein
abhi to
mahfil jami hui thi
abhi to
main ne ghazal kahi thi
abhi to
logon ne dad di thi
ye sab
KHushi thi
magar
ye mujh mein
kahin nahin thi
jawaz kya hai
udas hun main
abhi to main ne
dinner kiya tha
shahr ke maKHsus restaurant mein
hasin waiters ne muskurahaT se
mujh ko Table saja ke di thi
tamam khane laziz the par
mere liye kuchh maza nahin tha
jawaz kya hai
udas hun main
nae color se
purane parde badal diye hain
KHarid laya hun
chae ka cup branded ek
tamam qismon ke phul
gamlon mein la ke main ne
saja diye hain
purana T V
badal diya hai
tamam channel bhi main ne
H D mein le liye hain
hazar mauzua pe serial hain
har ek ghenre ki in pe filmen bhari paDi hain
magar main
channel badal raha hun
kahin bhi lagta to ji nahin hai
mujhe kahin bhi
sukun nahin hai
KHushi ke
saman to bahut hain
magar kisi mein KHushi nahin hai
jawaz kya hai
udas hun main
ye nazm
paDhna
to lauT aana
tumhein ye shayad pata nahin hai
bahut ziyaada
udas hun main
jawaz tum ho
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.