Font by Mehr Nastaliq Web

aaj ik aur baras biit gayā us ke baġhair

jis ke hote hue hote the zamāne mere

CANCEL DOWNLOAD SHER

jawaz

Bushra Saeed

jawaz

Bushra Saeed

MORE BYBushra Saeed

    ḳhayāl ke dastar-ḳhvān se

    lazīz zā.iqe chakhtī mohabbat

    adhūrī ziyāfat se

    bhuuk miTāne aadī hai

    garm fazā

    joshīlī ret se

    mastī meñ magan hai

    jis sahrā ke dāman meñ

    merā ḳhema gaḌā hai

    vahīñ kuchh fāsle se

    merā ghoḌā

    chābuk ke raqs muntazir hai

    naqshe par ubhre dariyā taraf pesh-qadmī

    ijāzat-nāma to mil chukā

    magar maiñ ḳhud-aziyyatī

    tārīḳhī tartīb meñ

    radd-o-badal se inkārī huuñ

    jis vaadī meñ

    muskurāhaToñ zāfrānī sūraj

    aur vasl ke kāsnī chāñd baserā hai

    maiñ us maskan taraf

    nahīñ lauT saktī

    agarche merī majbūr mohabbat

    merī ḳhud-sāḳhta zad se tang hai

    magar maiñ kyā karūñ

    maiñ ne mahrūm insānoñ ke

    mushtarka sarmā.e meñ

    apnā hissa Daal rakhā hai

    KHayal ke dastar-KHwan se

    laziz zaiqe chakhti mohabbat

    adhuri ziyafat se

    bhuk miTane ki aadi hai

    garm faza

    joshili ret se

    masti mein magan hai

    jis sahra ke daman mein

    mera KHema gaDa hai

    wahin kuchh fasle se

    mera ghoDa

    chabuk ke raqs ka muntazir hai

    naqshe par ubhre dariya ki taraf pesh-qadmi ka

    ijazat-nama to mil chuka

    magar main KHud-aziyyati ki

    tariKHi tartib mein

    radd-o-badal se inkari hun

    jis wadi mein

    muskurahaTon ka zafrani suraj

    aur wasl ke kasni chand ka basera hai

    main us maskan ki taraf

    nahin lauT sakti

    agarche meri majbur mohabbat

    meri KHud-saKHta zad se tang hai

    magar main kya karun

    main ne mahrum insanon ke

    mushtarka sarmae mein

    apna hissa Dal rakha hai

    Source :
    0
    COMMENTS
    VIEW COMMENTS VIEW COMMENTS

    Additional information available

    Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.

    OKAY

    About this sher

    Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.

    Close

    rare Unpublished content

    This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.

    OKAY

    Jashn-e-Rekhta | 13-14-15 December 2024 - Jawaharlal Nehru Stadium , Gate No. 1, New Delhi

    Get Tickets
    Speak Now