jazba-e-isar
balā se ham ko laTkā.e agar sarkār phāñsī se
laTakte aa.e aksar paikar-e-īsār phāñsī se
lab-e-dam bhī na kholī zālimoñ ne hathkaḌī merī
tamanna thī ki kartā maiñ lipaT kar pyaar phāñsī se
khulī hai mujh ko lene ke liye āġhosh-e-āzādī
ḳhushā ki ho gayā mahbūb kā dīdār phāñsī se
kabhī o be-ḳhabar tahrīk-e-āzādī bhī ruktī hai
baḌhā kartī hai is kī tezī-e-raftār phāñsī se
yahāñ tak sarfaroshān-e-vatan baḌh jā.eñge qātil
ki laTkāne paḌeñge nit tujhe do-chār phāñsī se
nazar ā.eñge har sū sham-e-āzādī ke parvāne
hazāroñ murda dil ho jā.eñge bedār phāñsī se
farishte āsmāñ se bahr-e-pā-bosī utarte haiñ
ki 'sābir' jhūlte haiñ desh ke sardār phāñsī se
bala se hum ko laTkae agar sarkar phansi se
laTakte aae aksar paikar-e-isar phansi se
lab-e-dam bhi na kholi zalimon ne hathkaDi meri
tamanna thi ki karta main lipaT kar pyar phansi se
khuli hai mujh ko lene ke liye aaghosh-e-azadi
KHusha ki ho gaya mahbub ka didar phansi se
kabhi o be-KHabar tahrik-e-azadi bhi rukti hai
baDha karti hai is ki tezi-e-raftar phansi se
yahan tak sarfaroshan-e-watan baDh jaenge qatil
ki laTkane paDenge nit tujhe do-chaar phansi se
nazar aaenge har su sham-e-azadi ke parwane
hazaron murda dil ho jaenge bedar phansi se
farishte aasman se bahr-e-pa-bosi utarte hain
ki 'sabir' jhulte hain desh ke sardar phansi se
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.