jazira
vahāñ huuñ maiñ
jahāñ chāroñ taraf mere
samundar āñsūoñ ke bah rahe haiñ
agar maiñ bhāgnā chāhūñ
to un meñ Duub jā.ūñgā
mafar kā rāsta koī nahīñ hai
to maiñ ik jail meñ rakkhe ga.e
ik aise qaidī kī tarah huuñ
ki jis ko kāTnī hogī sazā-e-qaid-e-umr
magar kis jurm kī pādāsh meñ
aisī sazā kāTūñ
har ik qaidī sazā-e-umr-e-daurāñ kaaT kar
āzād samtoñ meñ ravāna ho chukā hai
magar maiñ aaj bhī anjāne jurmoñ kā sazā-yāb
salīb-e-ġham uThā.e phir rahā huuñ
maiñ apnī zaat ke tanhā jazīre meñ rahūñ kab tak
wahan hun main
jahan chaaron taraf mere
samundar aansuon ke bah rahe hain
agar main bhagna chahun
to un mein Dub jaunga
mafar ka rasta koi nahin hai
to main ek jail mein rakkhe gae
ek aise qaidi ki tarah hun
ki jis ko kaTni hogi saza-e-qaid-e-umr
magar kis jurm ki padash mein
aisi saza kaTun
har ek qaidi saza-e-umr-e-dauran kaT kar
aazad samton mein rawana ho chuka hai
magar main aaj bhi anjaane jurmon ka saza-yab
salib-e-gham uThae phir raha hun
main apni zat ke tanha jazire mein rahun kab tak
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.