jhanDa uncha rahe hamara
sab se achchhā sab se nyārā
rañg tirañgā pyārā pyārā
qaum kī ummīdoñ kā sahārā
des dulārā jag ujyārā
dil kī ThanDak aañkh kā taarā
jhanDā ūñchā rahe hamārā
des disā dikhlāne vaalā
hosh meñ ham ko laane vaalā
josh se dil garmāne vaalā
ḳhidmat par uksāne vaalā
qaum kī nayyā khaivan haarā
jhanDā ūñchā rahe hamārā
āzādī ke parvānoñ ko
is devī ke dīvānoñ ko
hinduoñ aur musalmānoñ ko
hind ke saare insānoñ ko
hai ye apnī jaan se pyārā
jhanDā ūñchā rahe hamārā
jab jhanDā lahrā.egā ye
man kī jot jagā.egā ye
apnā.iyat phailā.egā ye
priit kī riit sikhā.egā ye
prem kā sāgar prem kī dhārā
jhanDā ūñchā rahe hamārā
sab se achchha sab se nyara
rang tiranga pyara pyara
qaum ki ummidon ka sahaara
des dulara jag ujyara
dil ki ThanDak aankh ka tara
jhanDa uncha rahe hamara
des disa dikhlane wala
hosh mein hum ko lane wala
josh se dil garmane wala
KHidmat par uksane wala
qaum ki nayya khaiwan haara
jhanDa uncha rahe hamara
aazadi ke parwanon ko
is dewi ke diwanon ko
hinduon aur musalmanon ko
hind ke sare insanon ko
hai ye apni jaan se pyara
jhanDa uncha rahe hamara
jab jhanDa lahraega ye
man ki jot jagaega ye
apnaiyat phailaega ye
prit ki rit sikhaega ye
prem ka sagar prem ki dhaara
jhanDa uncha rahe hamara
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.