jhelum ke kinare
maujoñ kī javānī meñ talātum hai abhī tak
sailāb-e-havā shorishoñ meñ gum hai abhī tak
bahte chale jaate haiñ ye mahke hue dhāre
karte haiñ ishāre
hañste haiñ nazāre
ābād haiñ ab tak mere jhelum ke kināre
ab tak usī andāz se hañstī haiñ fazā.eñ
ab tak usī ḳhushbū se mahaktī haiñ havā.eñ
aatī haiñ usī taur ghaTā-Top ghaTā.eñ
ab tak usī māhaul meñ palte haiñ nazāre
chāñd aur sitāre
ye nuur ke paare
ābād haiñ ab tak mire jhelum ke kināre
panghaT pe javāñ laḌkiyāñ aatī haiñ abhī tak
pariyoñ kī tarah nāchtī gaatī haiñ abhī tak
hañstā huā māhaul basātī haiñ abhī tak
āñkhoñ meñ jhalakte haiñ javānī ke sharāre
rañgīn sitāre
ma.asūm ishāre
ābād haiñ ab tak mire jhelum ke kināre
jāmun ke daraḳhtoñ kī vahī chhāñv ghanerī
aur un se zarā haT ke mire khet kī berī
rūmān kī duniyā abhī mahfūz hai merī
in sāyoñ tale ham ne ka.ī pahr guzāre
bastī se kināre
kyā din the hamāre
ābād haiñ ab tak mire jhelum ke kināre
duniyā ne na dekhā mirā rañgīn fasāna
jhelum ko magar yaad hai shā.er kā fasāna
parvān chaḌhā huuñ inhīñ maujoñ ke sahāre
dekhe haiñ nazāre
haiñ zehn meñ saare
ābād haiñ ab tak mire jhelum ke kināre
maujon ki jawani mein talatum hai abhi tak
sailab-e-hawa shorishon mein gum hai abhi tak
bahte chale jate hain ye mahke hue dhaare
karte hain ishaare
hanste hain nazare
aabaad hain ab tak mere jhelum ke kinare
ab tak usi andaz se hansti hain fazaen
ab tak usi KHushbu se mahakti hain hawaen
aati hain usi taur ghaTa-Top ghaTaen
ab tak usi mahaul mein palte hain nazare
chand aur sitare
ye nur ke pare
aabaad hain ab tak mere jhelum ke kinare
panghaT pe jawan laDkiyan aati hain abhi tak
pariyon ki tarah nachti gati hain abhi tak
hansta hua mahaul basati hain abhi tak
aankhon mein jhalakte hain jawani ke sharare
rangin sitare
masum ishaare
aabaad hain ab tak mere jhelum ke kinare
jamun ke daraKHton ki wahi chhanw ghaneri
aur un se zara haT ke mere khet ki beri
ruman ki duniya abhi mahfuz hai meri
in sayon tale hum ne kai pahr guzare
basti se kinare
kya din the hamare
aabaad hain ab tak mere jhelum ke kinare
duniya ne na dekha mera rangin fasana
jhelum ko magar yaad hai shaer ka fasana
parwan chaDha hun inhin maujon ke sahaare
dekhe hain nazare
hain zehn mein sare
aabaad hain ab tak mere jhelum ke kinare
- Book : Jadeed Shora-e-Urdu (Pg. 148)
- Author : Dr. Abdul Wahid
- Publication : Feroz sons Printers Publishers and Stationers
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.