jhilmilati hui nind sun
ai charāġhoñ kī lau kī tarah
jhilmilātī huī nīñd, sun
merā udhḌā huā jism bun
ḳhvāb se joḌ
lahroñ meñ Dhaal
ik tasalsul meñ lā
naqsh marbūt kar
narm abreshmīñ kaif se
merī darzoñ ko bhar
merī miTTī ke zarre uThā
merī vahshat ke bikhre hue
sañg-rezoñ ko chun
ai charāġhoñ kī lau kī tarah
jhilmilātī huī nīñd, sun
merā udhḌā huā jism bun
koī lorī de
jhūlā jhulā
poTlī khol ramzoñ kī
mujh par kahānī kī abrak chhiḌak
merā kāñdhā thapak
aa mujhe tāj-e-roīdgī se sajā
ik tasalsul meñ lā
shab ke ik taar par
chheḌ de koī dhun
ai charāġhoñ kī lau kī tarah
jhilmilātī huī nīñd, sun
merā udhḌā huā jism bun!!
ai charaghon ki lau ki tarah
jhilmilati hui nind, sun
mera udhDa hua jism bun
KHwab se joD
lahron mein Dhaal
ek tasalsul mein la
naqsh marbut kar
narm abreshmin kaif se
meri darzon ko bhar
meri miTTi ke zarre uTha
meri wahshat ke bikhre hue
sang-rezon ko chun
ai charaghon ki lau ki tarah
jhilmilati hui nind, sun
mera udhDa hua jism bun
koi lori de
jhula jhula
poTli khol ramzon ki
mujh par kahani ki abrak chhiDak
mera kandha thapak
aa mujhe taj-e-roidgi se saja
ek tasalsul mein la
shab ke ek tar par
chheD de koi dhun
ai charaghon ki lau ki tarah
jhilmilati hui nind, sun
mera udhDa hua jism bun!!
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.