jhonpaDa
ye tan jo hai har ik ke utāre kā jhoñpaḌā
is se hai ab bhī sab ke sahāre kā jhoñpaḌā
is se hai bādshah ke nazāre kā jhoñpaḌā
is meñ hī hai faqīr bichāre kā jhoñpaḌā
apnā na mol kā na ijāre kā jhoñpaḌā
baabā ye tan hai dam ke guzāre kā jhoñpaḌā
is meñ hī bhole-bhāle isī meñ siyāne haiñ
is meñ hī hoshiyār isī meñ divāne haiñ
is meñ hī dushman is meñ hī apne begāne haiñ
shā-jhoñpaḌā bhī apne isī meñ namāne haiñ
apnā na mol hai na ijāre kā jhoñpaḌā
baabā ye tan hai dam ke guzāre kā jhoñpaḌā
is meñ hī log ishq-o-mohabbat ke maare haiñ
is meñ hī shoḳh husn ke chāñd aur sitāre haiñ
is meñ hī yār-dost isī meñ piyāre haiñ
shā-jhoñpaḌā bhī apne isī meñ bichāre haiñ
apnā na mol hai na ijāre kā jhoñpaḌā
baabā ye tan hai dam ke guzāre kā jhoñpaḌā
is meñ hī ahl-e-daulat-o-mun.im amiir haiñ
is meñ hī rahte saare jahāñ ke faqīr haiñ
is meñ hī shaah aur isī meñ vazīr haiñ
is meñ hī haiñ saġhīr isī meñ kabīr haiñ
itnā na mol kā na ijāre kā jhoñpaḌā
baabā ye tan hai dam ke guzāre kā jhoñpaḌā
is meñ hī chor-Thag haiñ isī meñ amol haiñ
is meñ hī ronī shakl isī meñ ThiThol haiñ
is meñ hī baaje aur naqāre-o-Dhol haiñ
shā-jhoñpaḌā bhī is meñ hī karte kalol haiñ
itnā na mol kā na ijāre kā jhoñpaḌā
baabā ye tan hai dam ke guzāre kā jhoñpaḌā
is meñ hī pārsā haiñ isī meñ tavand haiñ
bedard bhī isī meñ hai aur dardmand haiñ
is meñ hī sab parand isī meñ charand haiñ
shā-jhoñpaḌā bhī ab isī Dar be band haiñ
itnā na mol kā na ijāre kā jhoñpaḌā
baabā ye tan hai dam ke guzāre kā jhoñpaḌā
is jhoñpaḌe meñ rahte haiñ sab shaah aur vazīr
is meñ vakīl baḳhshī o mutasaddi aur amiir
is meñ hī sab ġharīb haiñ is meñ hī sab faqīr
shā-jhoñpaḌā jo kahte haiñ sach hai miyāñ 'nazīr'
itnā na mol kā na ijāre kā jhoñpaḌā
baabā ye tan hai dam ke guzāre kā jhoñpaḌā
ye tan jo hai har ek ke utare ka jhonpaDa
is se hai ab bhi sab ke sahaare ka jhonpaDa
is se hai baadshah ke nazare ka jhonpaDa
is mein hi hai faqir bichaare ka jhonpaDa
apna na mol ka na ijare ka jhonpaDa
baba ye tan hai dam ke guzare ka jhonpaDa
is mein hi bhole-bhaale isi mein siyane hain
is mein hi hoshiyar isi mein diwane hain
is mein hi dushman is mein hi apne begane hain
sha-jhonpaDa bhi apne isi mein namane hain
apna na mol hai na ijare ka jhonpaDa
baba ye tan hai dam ke guzare ka jhonpaDa
is mein hi log ishq-o-mohabbat ke mare hain
is mein hi shoKH husn ke chand aur sitare hain
is mein hi yar-dost isi mein piyare hain
sha-jhonpaDa bhi apne isi mein bichaare hain
apna na mol hai na ijare ka jhonpaDa
baba ye tan hai dam ke guzare ka jhonpaDa
is mein hi ahl-e-daulat-o-munim amir hain
is mein hi rahte sare jahan ke faqir hain
is mein hi shah aur isi mein wazir hain
is mein hi hain saghir isi mein kabir hain
itna na mol ka na ijare ka jhonpaDa
baba ye tan hai dam ke guzare ka jhonpaDa
is mein hi chor-Thag hain isi mein amol hain
is mein hi roni shakl isi mein ThiThol hain
is mein hi baje aur naqare-o-Dhol hain
sha-jhonpaDa bhi is mein hi karte kalol hain
itna na mol ka na ijare ka jhonpaDa
baba ye tan hai dam ke guzare ka jhonpaDa
is mein hi parsa hain isi mein tawand hain
bedard bhi isi mein hai aur dardmand hain
is mein hi sab parand isi mein charand hain
sha-jhonpaDa bhi ab isi Dar be band hain
itna na mol ka na ijare ka jhonpaDa
baba ye tan hai dam ke guzare ka jhonpaDa
is jhonpaDe mein rahte hain sab shah aur wazir
is mein wakil baKHshi o mutasaddi aur amir
is mein hi sab gharib hain is mein hi sab faqir
sha-jhonpaDa jo kahte hain sach hai miyan 'nazir'
itna na mol ka na ijare ka jhonpaDa
baba ye tan hai dam ke guzare ka jhonpaDa
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.