jhumar
sahelī yuuñ to kuchh kuchh sāñvle se haiñ mire sājan
magar terī qasam behad rasīle haiñ mire sājan
jo maiñ kahtī huuñ us ko muskurā kar maan jaate haiñ
bahut pyāre baḌe hī bhole-bhāle haiñ mire sājan
maiñ un se prem kartī huuñ bhalā maiñ kyā batā.ūñgī
sakhī tū bol tujh ko kaise lagte haiñ mire sājan
ba-zāhir vo dikhā.ī dete haiñ ma.asūm duniyā ko
magar andar se mastāne rañgīle haiñ mire sājan
nahā dho kar maiñ apnī maañg jab sindūr se bhartī huuñ
to jaane zer-e-lab kyuuñ muskurāte haiñ mire sājan
khule bāloñ kī ḳhushbū dil ko matvālā banātī hai
mirā juuḌā ye kah kar khol dete haiñ mire sājan
chhupā letī huuñ chehra us ghaḌī maiñ laaj ke maare
mujhe jab sej par apnī bulāte haiñ mire sājan
na mujh se dil sambhaltā hai na āñchal hī sambhaltā hai
suhāne giit kyuuñ rātoñ ko gaate haiñ mire sājan
mujhe pardes se har baar gahna lā ke dete haiñ
sahelī mujh se behad pyaar karte haiñ mire sājan
ka.ī din se musalsal dekhtī huuñ un ko sapne meñ
papīhe sach batā kyā aane vaale haiñ mire sājan
chamaktā hai mire māthe pe jhūmar aaj kyuuñ jaise
ḳhushī kā chāñd ban kar ghar meñ aa.e haiñ mire sājan
savere se bahut bechain huuñ ghabrā rahī huuñ maiñ
sakhī pardes meñ kyā jaane kaise haiñ mire sājan
koilyā! dil meñ terī kuuk ab nashtar chubhotī hai
zamāna ho gayā hai mujh se bichhḌe haiñ mire sājan
ghaTā phir jhuum kar sāvan kī aa.ī mor phir bolā
mire sājan ab aa jaao ki jhūleñ baaġh meñ jhūlā
saheli yun to kuchh kuchh sanwle se hain mere sajan
magar teri qasam behad rasile hain mere sajan
jo main kahti hun us ko muskura kar man jate hain
bahut pyare baDe hi bhole-bhaale hain mere sajan
main un se prem karti hun bhala main kya bataungi
sakhi tu bol tujh ko kaise lagte hain mere sajan
ba-zahir wo dikhai dete hain masum duniya ko
magar andar se mastane rangile hain mere sajan
naha dho kar main apni mang jab sindur se bharti hun
to jaane zer-e-lab kyun muskuraate hain mere sajan
khule baalon ki KHushbu dil ko matwala banati hai
mera juDa ye kah kar khol dete hain mere sajan
chhupa leti hun chehra us ghaDi main laj ke mare
mujhe jab sej par apni bulate hain mere sajan
na mujh se dil sambhalta hai na aanchal hi sambhalta hai
suhane git kyun raaton ko gate hain mere sajan
mujhe pardes se har bar gahna la ke dete hain
saheli mujh se behad pyar karte hain mere sajan
kai din se musalsal dekhti hun un ko sapne mein
papihe sach bata kya aane wale hain mere sajan
chamakta hai mere mathe pe jhumar aaj kyun jaise
KHushi ka chand ban kar ghar mein aae hain mere sajan
sawere se bahut bechain hun ghabra rahi hun main
sakhi pardes mein kya jaane kaise hain mere sajan
koilya! dil mein teri kuk ab nashtar chubhoti hai
zamana ho gaya hai mujh se bichhDe hain mere sajan
ghaTa phir jhum kar sawan ki aai mor phir bola
mere sajan ab aa jao ki jhulen bagh mein jhula
- Book : Lamhon Ki Aawaz (Pg. 170)
- Author : Owais Ahmad Dauran
- Publication : label litho press Ramna Road Patna-4 (1974)
- Edition : 1974
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.