jhuT sach
agar ye sach hai
to log kyā sirf ek hī sach ko mānte haiñ
ye sach agar zāviya nahīñ hai nigāh kā to batāo kyā hai
ki maiñ khaḌā huuñ jahāñ vahāñ se
tumhāre chehre kā ek hī ruḳh
ayaañ hai
jaise
tum aadhe chehre ke aadmī ho
agar ye sach hai
to phir batāo ki jhuuT kyā hai
agar ye sach hai
to log kya sirf ek hi sach ko mante hain
ye sach agar zawiya nahin hai nigah ka to batao kya hai
ki main khaDa hun jahan wahan se
tumhaare chehre ka ek hi ruKH
ayan hai
jaise
tum aadhe chehre ke aadmi ho
agar ye sach hai
to phir batao ki jhuT kya hai
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.