jhuT
Thahro bārish ruk jaa.e to
maiñ hī tum ko chhoḌ ā.ūñgā
tab tak koī sher sunā do
yā phir taar hañsī kā chheḌo
dekho mujh ko jaane do
jañgal saarā bhiig gayā hai
aur bādal bhī ġhusse meñ hai
pāgal ho tum kaisī bāteñ kartī ho
mere hote bādal barse
yā phir dhuup añdherā chhā.e
kaun tumheñ kuchh kah saktā hai
Thahro barish ruk jae to
main hi tum ko chhoD aaunga
tab tak koi sher suna do
ya phir tar hansi ka chheDo
dekho mujh ko jaane do
jangal sara bhig gaya hai
aur baadal bhi ghusse mein hai
pagal ho tum kaisi baaten karti ho
mere hote baadal barse
ya phir dhup andhera chhae
kaun tumhein kuchh kah sakta hai
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.