jhuTi taraqqi
ye shafaq-fām zard-rū afrād
sālahā saal se asīr-e-hayāt
zinda rahne kī kuchh ḳhushī hai inheñ
na hī marne kā kuchh zarā bhī malāl
ye vo jāñ-dār haiñ ki jin ke liye
lafz-e-āsūdgī bahisht-e-ḳhayāl
kitne bosīda ḳhāl-o-ḳhad in ke
jism bas haDDiyoñ kā Dhāñcha hai
ruuh virse meñ jo milī in ko
ek nā-mo'tabar asāsa hai
kyā kiyā ham ne itnī sadiyoñ meñ
kyaa? taraqqī! jo ek dhoka hai
ek muflis ġharīb bechāra
kal bhī bhūkā thā ab bhī bhūkā hai
log ab bhī guzishta kī mānind
dafn haiñ apnī ḳhvāhishoñ ke tale
ye taraqqī hai ek kizb-e-mahaz
itnī sadiyoñ meñ ham nahīñ badle
ye shafaq-fam zard-ru afrad
salaha sal se asir-e-hayat
zinda rahne ki kuchh KHushi hai inhen
na hi marne ka kuchh zara bhi malal
ye wo jaan-dar hain ki jin ke liye
lafz-e-asudgi bahisht-e-KHayal
kitne bosida KHal-o-KHad in ke
jism bas haDDiyon ka Dhancha hai
ruh wirse mein jo mili in ko
ek na-mo'tabar asasa hai
kya kiya hum ne itni sadiyon mein
kya? taraqqi! jo ek dhoka hai
ek muflis gharib bechaara
kal bhi bhuka tha ab bhi bhuka hai
log ab bhi guzishta ki manind
dafn hain apni KHwahishon ke tale
ye taraqqi hai ek kizb-e-mahaz
itni sadiyon mein hum nahin badle
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.