jidhar dekhta hun udhar tu hi tu hai
bulbul ke chahchahe meñ
ġhunchoñ ke qahqahe meñ
rang-e-gul-e-chaman meñ
ḳhushbū-e-yāsman meñ
bustān-e-pur-fazā meñ
sarsar meñ aur sabā meñ
dariyā ke pāniyoñ meñ
us kī ravāniyoñ meñ
sahrāoñ meñ bhī huuñ maiñ
parbat kī kundaroñ meñ
sūraj meñ chandramā meñ
anjum meñ kahkashāñ meñ
motī ke jhalakne meñ
hiire ke damakne meñ
har sham-e-anjuman meñ
parvāna kī jalan meñ
tabla kī har sadā meñ
tambūr kī navā meñ
aalam kī sūratoñ meñ
miTTī kī mūratoñ meñ
phir qalb-e-pārsā meñ
aur sīna-e-safā meñ
nāqūs meñ azaañ meñ
aur ved meñ qurāñ meñ
kāhin kī bansurī meñ
aur naġhma-e-‘purī’ meñ
bulbul ke chahchahe mein
ghunchon ke qahqahe mein
rang-e-gul-e-chaman mein
KHushbu-e-yasman mein
bustan-e-pur-faza mein
sarsar mein aur saba mein
dariya ke paniyon mein
us ki rawaniyon mein
sahraon mein bhi hun main
parbat ki kundaron mein
suraj mein chandrama mein
anjum mein kahkashan mein
moti ke jhalakne mein
hire ke damakne mein
har sham-e-anjuman mein
parwana ki jalan mein
tabla ki har sada mein
tambur ki nawa mein
aalam ki suraton mein
miTTi ki muraton mein
phir qalb-e-parsa mein
aur sina-e-safa mein
naqus mein azan mein
aur wed mein quran mein
kahin ki bansuri mein
aur naghma-e-‘puri’ mein
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.